ab to mazhab koi aisa bhi chalaya jaaye
jis mein insan ko insan banaya jaaye
jis ki KHushbu se mahek jaaye paDosi ka bhi ghar
phul is qism ka har samt khilaya jaaye
aag bahti hai yahan ganga mein jhelam mein bhi
koi batlae kahan ja ke nahaya jaaye
pyar ka KHoon hua kyun ye samajhne ke liye
har andhere ko ujale mein bulaya jaaye
mere dukh-dard ka tujh par ho asar kuchh aisa
main rahun bhooka to tujh se bhi na khaya jaaye
jism do ho ke bhi dil ek hon apne aise
mera aansu teri palkon se uThaya jaaye
git anman hai ghazal chup hai rubai hai dukhi
aise mahaul mein 'niraj' ko bulaya jaaye
Gopaldas Neeraj
(04/01/1925)
Week 1
4th : #GopaldasNeeraj
5th: #mazhab
6th Jaleel Manekpuri 6/1/1946 (death anniversary)
&
# insaan
7th: #mahek ( khushbu)
&
#phool
8th : #andhera
&
#ujaala
9th: #nadi ( reference to Ganga/ Jhelum
10th: #Kavya
#AnujLugun #HafeezMerathi
#LaxmiShankarBajpai
Week 2
ek pal mein zindagi bhar ki udasi de gaya
wo juda hote hue kuchh phul basi de gaya
noch kar shaKHon ke tan se KHushk patton ka libas
zard mausam banjh-rut ko be-libasi de gaya
subh ke tare meri pahli dua tere liye
tu dil-e-be-sabr ko taskin zara si de gaya
Mohsin Naqvi
11th: #udaas
&
#juda
12th: #shaakh
&
#patta
13th: #mausam
&
#zard
14th: #HafeezJullundhri 14/1/1900 birth anniversary
15th: #MohsinNaqvi death anniversary
16th : #libaas
17th #kavya #shair
#JavedAkhtar birthday
&
#AbhinavArun
Week 3
zindagi kya hai anasir mein zuhur-e-tartib
maut kya hai inhin ajza ka pareshan hona
Brij Narain Chakbast
18th: #WasifAliWasif
19th : #Chakbast birth anniversary
20th : #zindagi ( zeest, jivan)
21st : #tarteeb ( dhang)
22nd : #maut
&
#pareshan
23rd : #ajza (Particles, ingredients, constituents)
24th: #kavya
#AshokKumarPandey #MaheshKatareSugam
Week 4
tujhe daanista mahfil mein jo dekha ho to mujrim hun
nazar aaḳhir nazar hai be-iraada uTh gayi hogi
Seeman Akbarabadi
25th: #mehfil
26th : #mujrim
27th : #nazar
28th : #iraada
29th: #NazirAkbarabadi
30th: #daana ( wise)
31st: #SeemabAkbarabadi
Death anniversary
#kavya #PramodTiwari