Wednesday, 30 November 2011

Tarahi Mushaira on #shair 20th Nov 2011

Moderated by Sushanth Jain Ankur
(these inputs given by Sushanth )




AbidZaidi1: "Aik hi biwi au' bachche nau adad, Apne apne hausle ki baat hai" #Tarahi #shair

xak1rb: abi aye,thehro! Chal dye kidar/Chand lafz baqi,choti si baat hai/ #Zakwan #tarahi

aptrivedi: Kavita Apnee Apnaa Zazbaat Hai /Likhate Likhate Rokana Vyaghat Hai #Tarahi

DrSalamAnsari: Naujawaan woh jisko kahte hain Sushant=Uski to har baat men ik baat hai. #Tarahi #Shair

DrTahirZaidi: ?ek sher rah gaya tha:Mehnat ka sila paoon to khush hoon main/muft mil jaye to ye khairat hai #Tarahi #Shair

DrSalamAnsari: Haath men apne jo tera haat hai=Phir to goya ik zamaana saat hai. #Tarahi #Shair

DrSalamAnsari: Kaun hoga ai Salam apna rafiq=Gardish-e-dauraan jab apne saath hai. #Tarahi #Shair #Saltarahi

DrSalamAnsari: Yeh sher mulaahiza farmaayen~Shukriya ai sai-e-paiham shukriya=Saamne woh raah-e-imkaanaat hai. #Tarahi #Shair

DrTahirZaidi: Makhta : kyon baithey ho muzmahil se aiy #Tahir/kya hua batlao to kya baat hai #Tarahi #Shair

DrSalamAnsari: Hai jawaani chaar din ki chaandni=Aur budhaapa lambi kaali raat hai. #Tarah

DrSalamAnsari: Abto bas yaad-e-khuda aafaat men=Itni masroof aadmi ki zaat hai #

AbidZaidi1: "Chaar din ki chandini hOti hai phir, Dekhiye, kaali, andheri raat hai" #Tarahi #shair

2 comments:

  1. I hope many more participants next time would be tweeting on #Tarah. It would be better 20th of every month be fixed for #Tarahi.And the tarah should be announced around 1st date. What #Tarah would be for next is awaited.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete