Saturday 20 July 2019

Iss hafte #shair mein

Three week Schedule: prepared by Abid Zaidi

'Zindagi Ka Safar'

22.7 : #Zindagi

23.7 : #Bachpan (Bachcha, Bachpana...)

24.7 : #Jawani (Jawan, Jawani...)

25.7 : #Budhapa  (Boodha, Peeri..)

26.7 : #Umr

27.7 : #Maut

28.7 :  #FahmidaRiaz (Birth Anniversary) & Kavya


Emotional Week 

29.7 : #Jazbaat (Jazba...)

30.7 : #Gussa

31.7 : #Nafrat

01.8 : #Aansu (Dard...takleef) & NoonMeemRashid & Ali Sardar Jafri (Birth Anniversaries)

02.8 : #Wafa

03.8 : Shakeel Badayuni ( Birth Anniversary) & Kavya



Mushaira Muddo'n Ka (Siyasat aur Shayeri ) :  #Shair 

5.8 #Taraqqi (Vikas)

6.8  #Mulk (Patriotism, Defence...)

7.8 #Garibi

8.8 #Rozi (Rozi-Roti, Employment, Kheti, Kisan)

9.8 #Siyasat

10.8 #Aman (Bhaichara, Sath Sath...)

11.8 #HasyaVang (Rajneeti ke Rang) Kavya

Sunday 14 July 2019

Iss hafte #shair mein

The forms of love
( please ensure you use the words suggested only as each has a different meaning)

15th : #ishq

16th : #pyaar / prem

17th : #haqeeqiishq ( for God - share Sufi & Bhakti poetry)

18th : #mohabbat

19th : #uns ( attachment, affection)

20th : #hubb ( hubby e watan etc)

21st :#AnandBakhshi and #MaheshwarTiwary
#kavya 

Saturday 6 July 2019

Iss hafte #shair mein

vo merā dost hai saare jahāñ ko hai maalūm
daġhā kare vo kisī se to sharm aaye mujhe
vo mehrbāñ hai to iqrār kyuuñ nahīñ kartā
vo bad-gumāñ hai to sau baar āzmāye mujhe
maiñ apnī zaat meñ nīlām ho rahā huuñ 'qatīl'
ġham-e-hayāt se kah do ḳharīd laaye mujhe
Qateel Shifai
8th  :  #dagha ( betrayal)
9th :  #sharm 
10th : #mehrban 
11th : #QateelShifai death anniversary 
12th  :  #iqrar  
13th : #hayat  
14th : kavya

Monday 1 July 2019

Iss hafte #shair mein

Prepared by Muzammil Bari

Only one hashtag #Tasalsul will be followed for the entire week from July 1st to 7th

Each day a pinned couplet (A) will be posted on @Shairoftheday. A #shair member has to pick any one word of his choice from that couplet and post a fresh couplet (B) beginning ONLY with his chosen word. Another member chooses his word of choice from (B) and posts another couplet (C) beginning ONLY with his chosen word. Other member will post another couplet (D) by picking any one word from (C) and so on.

Note:
Members should focus on the last tweeted couplet in the thread to pick any word and post a fresh couplet below it so that all the tweets can be seen in a chain form. Do not post as a separate tweet.

For eg

Pinned couplet (A):

Dekhe qareeb se bhi to achcha dikhayi de
Ek aadmi to shaher mein aisa dikhayi de

(B)
Aadmi aadmi ko kya dega
Jo bhi dega wohi khuda dega

(C)
Kya sitam hai ki ab teri surat
Ghaur karne pe yaad aati hai

(D)
Hai aur bhi duniya mein sukhanwar bahot achey
Lekin kehte hai Ghalib ka hai andaz e bayaan aur
--------------------------------------------------
Tweets to be pinned on each day:

July 1st
Ujale apni yadon ke hamare saath rahne do
Na jane kis gali mein zindagi ki sham ho jaye
~ Basheer Badr

July 2nd
Mera zameer bahut hai mujhe saza ke liye
Tu dost hai to nasihat na kar khuda ke liye
~ Shaz Tamkanat

July 3rd
Agar tumhari ana hi ka hai sawal to phir
Chalo main haath badhata hoon dosti ke liye
~ Ahmad Faraz

July 4th
Dil na-umeed to nahin nakaam hi to hai
Lambi hai gham ki sham magar sham hi to hai
~ Faiz Ahmed Faiz

July 5th
Tarq-e-taaluqaat pe roya na tu na main
Lekin ye kya ki chain se soya na tu na main
~ Khalid Ahmed

July 6th
Agar ye kehdo baghair mere nahi guzara to main tumhara
Ya us pe mabni koi taasoor koi ishara to main tumhara
~ Amer Ameer

July 7th
#Kavya #KedarnathSingh