Tuesday 27 September 2011

Manzil (theme of the day #shair)

23rd September 2011
various ashars posted by members of #shair on #Manzil

akhtar978 Akhtar Hussain
Bass ek qadam uthaa thaa ghalat raahe-shauq mein ! manzilein tamaam umr mujhe dhoondhti raheen !! #manzil #shair

GaziMumbai Gazi
Manzil pe pohanch kar is baat ka ehsaas hua .. Saath saath chalne ka lutf kuch aur tha #Manzil #Shair

Suhel baxi @suhelbaxi
Aaj manzil pe khara hai woh nayi shaan ke sath/ Tum haste thay jisse raste main gira ke log #Shair #Manzil


demhadiabo Obaid Ahmed
safar-e- #manzil -e-shab yaad nahin, log rukhsat huye kab yaad nahin #shair

aptrivedi Atul
अन्दाज़ कुछ अलग ही मेरे सोचने का है / मंज़िल का सब को शौक़ मुझे रास्ते का है #Shair #Manzil

Stylishlords Shehzad hafeez
Piyaas Aisi Key Pee Jao Samundar Sarey.... NaSeeb Aisa Key Muyassar Zehar Bhi Nahi... #shair #p #manzil

infinite_zeero Hashim Ansari @
manzilon ki baat chhodo kis ne payi manzilein/ ek safar acha laga ek hum safar acha laga #manzil #shair


lutera_ लुटेरा @
एक कदम उठा था उम्र-ए-शौक में,,,मंजिल तमाम उम्र हमें ढूँढती रहीं | #manzil #shair


lutera_ लुटेरा @
साथ मेरे अब वो हो लिए है....मंजिल मिल-न-मिले,,क्या लुत्फ आ रहा है सफर में.. #manzil #shair


nad_mad Nadeem Ahmad
Nahin nigaah mein #manzil to justaju hi sahi / Nahin visaal mayassar to arzu hi sahi.. #Shair #Faiz

sai_ki_bitiya Sai ki Bitiya @
Raah mein meel ka pathar bhi gazab saath nibhata raha / #manzil door sahi magar #manzil ki ummid badhata raha #Shair

Girdafreed_ The Shepherd
kahin safar hai kahin hai raasta #manzil ka,yeh raat din ki ghutan to azab hai dil ka #shair

nad_mad Nadeem Ahmad
#Manzil na de, charaagh na de, hausla to de / Tinke ka hi sahi, tu magar aasra to de... #Shair

ShaiqKhan Shaiq Ali Khan
Gar justujuu ho tou safar khatam kahaan hota hai/ Yuun tou har modh par manzil ka gumaan hota hai. ~ Ghulam Rabbani 'Taban' #Manzil #Shair


ShaiqKhan Shaiq Ali Khan @
Jin par dhoka ho jaataa hai manzil ka/ Raahoon mein aisey bhi maraahil hotey hain! #Manzil #Shair


iamrana Rana Safvi
badhegaa karavan #manzil-ba-manzil/ Gubaar-e-raah_guzar aaye na aaye #shair

DrTahirZaidi Dr.Tahir Zaidi @
Manzilen kya hain bas ghubaar e nazar/ raastey kya hain apne paon ki dhool #Manzil #mohsinZaidi

ShaiqKhan Shaiq Ali Khan @
Main be niyaz hi guzra tha 'Shaad' raahon sey/ Uboor ho gayein kuchh manzilein guzartey huye. #Manzil #shair


rmanish1 Manish Rathore @
"Hamare shaunq ki ye inteha thi kadam rakha ke #Manzil raasta thi #Javed #Shair @iamrana


Srivastava_Jii Ankur Srivastava
Hamari koshish ko nakamayabi ka naam na do yaaro / miley na #manzil jab tak ham hara nahi karte #shair


iamrana Rana Safvi
arbaab-e-junuun men hain kuchh ahl-e-Khirad shaamil / har ek musaafir se #manzil kaa pata na puchha kar @aaquib_ #shair



DrTahirZaidi Dr.Tahir Zaidi @
#Manzil bahut hai door had e jism o jaan se kya /jaana abhi hai aur bhi aagey yahan se kya #MohsinZaidi


salmanusmani Salman Usmani
Tu bhi mehdud na ho, mujh ko bhi mehdud na kar, Apne naqsh e kaf e paa ko meri #manzil na bana.

iamrana Rana Safvi
butaan-e-maahavash ujadi hui #manzil men rahte hain / ke jis ki jaan jaati hai usi ke dil men rahte hain #shair

iamrana Rana Safvi
#manzil-e-janaan ko jab ye dil ravaan tha doston/ tum ko main kaise bataun kya samaan tha doston #shair

HarisIntazar Haris Mirza @
Humein nahi afsos #manzil kho jaane ka / hum raasto mein thehar chuke hai ek safar ki tarah #shair (via @sai_ki_bitiya)

sai_ki_bitiya Sai ki Bitiya
Chin min taaron se saji neele dupatte si ek raat / #manzil kisko chahiye agar aaj ye raat meri ho jaaye #Shair

pka12 P k aggarwal
Kabr se bhi unki awaaz aati hai / kuch din khul ke jiye hote to #manzil mil jaati #Shair”"
23 Sep

suhelbaxi suhel baxi @
Kahin To Kaarvan-E-Dard Ki #Manzil Thahar Jaaye/ Kinare Aa Lage Umr-E-Rawaan Ya Dil Thahar Jaaye #Shair

pka12 P k aggarwal
" Zindagi ko manane ko main roz ehtemaam karti hoon / hoon bahut door par #manzil ko salaam karti hoon #Shair”"


sai_ki_bitiya Sai ki Bitiya
Rok dena mujhe jo main #manzil ke aage bhi sochne lagun / fitrat e dil bahut maghroor hai udaan mein rehti hai #Shair

iamrana Rana Safvi
ye kaisaa safar aaGhaaz kya, ye kaisi gardish paanv men hai/ raste men kahin rukte hii nahin, #manzil pe koi milta bhi nahin #Shair


sai_ki_bitiya Sai ki Bitiya
Laakhon aashik aise jo #manzil tak pahuncha chuke / wo ek aashik aisa chupchaap safar mein saath ho liya #SAIRAAM #Shair
23 Sep

suhelbaxi suhel baxi @
Kiska khayaal, kaun si manzil nazar may hai sadiyaaN guzar gayiiN hain zamaana safar may hai #Shair #Manzil

sai_ki_bitiya Sai ki Bitiya
Kuch lamhon ki ye zindagi, kaanch hai kahin toot na jaaye / #manzil ki talaash mein dekho raasta rooth na jaaye

sai_ki_bitiya Sai ki Bitiya
Zindagi ko manane ko main roz ehtemaam karti hoon / hoon bahut door par #manzil ko salaam karti hoon #Shair


suhelbaxi suhel baxi
Nishan-e-manzil-e-janaan mile mile na mile Maze ki cheez hai yeh zauq-e-justju mera #Shair #Manzil


suhelbaxi suhel baxi
Qasam fareb-e-nigaah o dil ki, hamen to is justju ne maara Wahin thi dar asal apni #manzil qadam uthe the jahan se pahle #Shair


sai_ki_bitiya Sai ki Bitiya
Ek azmiyat se to abhi chalna seekhe hai / #manzil tak lapakne ki daud bhala kyunkar hai #Shair


suhelbaxi suhel baxi @
hai manaa raah-e-ishq me.n dair-o-haram kaa hosh yaani kahaa.N se paas hai manzil, kahaa.N se duur # Shair #Manzil


sai_ki_bitiya Sai ki Bitiya
#manzil ka shauk hum bhi rakha karte they magar / phir suna wahan tanhaai ke siwa kuch bhi nahi #Shair


sai_ki_bitiya Sai ki Bitiya
Humne suna hai #manzil to sirf bhram hai zindagi ka / asli zindagi to raaston mein kat jaati hai #Shair

sai_ki_bitiya Sai ki Bitiya
#manzil ki talaash mein aksar bhatak jaate hai / raaste mein apne nishaan banate chalo #Shair


NabeelN EL Noble @
Zindagi ek haseen safar hai, bune huve khawabo ka karwa hai, aapne aansu phonch kar dekiye, #Manzil tere aage hai, #shair


sai_ki_bitiya Sai ki Bitiya
Humein nahi afsos #manzil kho jaane ka / hum raasto mein thehar chuke hai ek safar ki tarah #shair


akhtar978 Akhtar Hussain
Bass ek qadam uthaa thaa ghalat raahe-shauq mein ! manzilein tamaam umr mujhe dhoondhti raheen !! #manzil #shair

iamrana Rana Safvi
maslahat chaahtii hai ke #manzil mile/ aur dil DhuuNDtaa hai ko’ii kaarvaan #Badr #shair

iamrana Rana Safvi
#manzil manzil hol men Duubii aavaazeN hain/ rastaa rastaa Khauf ke pahre dekh rahaa huun #Shair


suhelbaxi suhel baxi
'Faiz' thi raah sar basar manzil, Hum jaahan pahuche kaamayaab aaye. #Shair #Manzil


NabeelN EL Noble
Dhundle yaadon ke sahare, chal diye #manzil ke talash mei, zindagi se koi shikwa na raha, maut se na koi umeed #Shair


suhelbaxi suhel baxi @
ye kyaa uThaaye qadam aur aa gaii manzil mazaa to jab hai ke pairon mein kuchh thakan rahe #Shair #Manzil


Sushant243 Sushant Jain 'Ankur'
Kya bat RT @aptrivedi: Aayi Hai Maut #Manzil e Maqsud Dekh Kar/ Itne Hue Kareeb Ke Hum Dur Ho Gaye #Shair


suhelbaxi suhel baxi
abr o baharaan bada o saghar duniya aayee , aap naa aaye wo manzil say door hee achchey jinko manzil raas na aaye #Shair #Manzil


suhelbaxi suhel baxi
Kabhi Taqdeer Ka Matam Kabhi Duniya Ka Gila/ Manzil-e-Ishq Mein Har Gam Pe Rona Aaya #Shair #Manzil


suhelbaxi suhel baxi
Badi nazuk hai ye manzil muhabbat ka safar hai/ Dhadak aahista se, e dil muhabbat ka safar hai #Shair #Manzil


suhelbaxi suhel baxi
Zindagi Aur Bata Tera Irada Kya Hai? Ek Hasrat thi k Aanchal ka Mujhe Pyar mile Mai ne Manzil ko Talasha, Mujhe Bazaar mile #Shair #Manzil


suhelbaxi suhel baxi
Kyun Shab-e-Gham Na Jalaun Teri Yaadon Ke Charagh,/ Unse Roshan Meri Manzil Ke Nishan Hote Hain, #Shair #Manzil


RoxorCrazy Roxor Crazy
Ulfat ki nayi #manzil ko chala, Tu baanhein daal ke baahon mein... Dil todnewale dekhke chal, hum bhi to pade hein raahon mein... #Shair


aptrivedi Atul
Aayi Hai Maut #Manzil e Maqsud Dekh Kar/ Itne Hue Kareeb Ke Hum Dur Ho Gaye #Shair

GaziMumbai Gazi
Manzil pe pohanch kar is baat ka ehsaas hua .. Saath saath chalne ka lutf kuch aur tha #Manzil #Shair @iamrana

suhelbaxi suhel baxi
(1) Nahi Nigah Main Manzil Tou Jostajo He Sahi Nahi Wisaal Muyassar Tou Arzoo He Sahi #Shair #Manzil

GaziMumbai Gazi
Mujhe sukoon ghane jungalon mein milta hai .. Main raaston se nahin manzilon se darta hoon - Bashir Badr #Manzil #Shair

aptrivedi Atul
Main Akela Hee Chala Tha Janibe #Manzil Magar/Log Saath Aate Gaye Kaarwan Banata Gaya #Shair

suhelbaxi suhel baxi
#manzil ki pehchaan, asaan nahi hai diidaa-e-hairaan, asaan nahi hai kismat ke hawaale aik kashti aur #Shair mauj-e-toofan, aasaan nahi hai


GaziMumbai Gazi @
Un ki aankhon ka jo aagaya hai khayal .. Iske aage bhi koi manzil hai #Manzil #Shair

aptrivedi Atul
Aye Jazbaye Dil Main Gar Chahun Har Cheez Mukabil Aa Jaye/ #Manzil ke liye Do Gaam Chalun Aur Samane Manzil Aa Jaye #Shair


suhelbaxi suhel baxi
Ae rahaber e kamil chalne ko tayyar to hu par yaad rahe/ us waqt muje bhatka dena jab manzil samne aa jaye #Shair #Manzil


GaziMumbai Gazi
Ussi se khata hoon fareb manzil ka .. Main jis ke paon se kaanta nikaal deta hoon #Manzil #Shair
2

GaziMumbai Gazi
Tu bin bataye mujhe le chal kahin .. Jahan tu muskuraye meri manzil wahin #Manzil #Shair

GaziMumbai Gazi
Ek ek kar ke huye jaate hain taare roshan .. Meri manzil ki taraf tere qadam aate hain - Faiz #Manzil #Shair

demhadiabo Obaid Ahmed
muhabbat mein Khayaal-e-saahil-o- #manzil hai nadani, jo in rahon mein lut jaaye wahi taqdir wala hai #shair
nad_mad Nadeem Ahmad

suhelbaxi suhel baxi @
Manzil ki justa-ju hai to kutch aur tez chal/ kya jane kal wafa na kare teri zindagi #Shair #Manzil


suhelbaxi suhel baxi @
Koi bataye mohabbat ke ye kaun se mukaam pe khade hain hum,Peeche dhoka aage bewafaai hai, humari #manzil ka pata kisko hai #Shair


zeeshaunn Zeeshaun Talat
#Manzil mile mile na mile , iska gham nahi , manzil ki justuju mein mera karwan to hai #Shair


kokeesachdeva Hemant Koki Sachdeva
Kin raahon se door hai #manzil kaun sa rasta aansaan hai / hum jab thak kar ruk jaayenge auro ko samjhaayenge ~ #Nida Fazli #shair


demhadiabo Obaid Ahmed
merii #manzil hai kaha mera thikana hai kaha,subah tak tujh se bichadkar mujhe jana hai kaha,sochane ke liye ek raat ka mauqa de de

aptrivedi Atul
Musafiron Ke Liye Manzilen Udaas Na Hon/ Abhi Junoon Ki Musafat Mein Kaafile Hain Bahut #Shair #Manzil

demhadiabo Obaid Ahmed
kyaa jaaniye #manzil hai kahaan jaate hain kis simt,bhatkii huee is bheedh mein sab soch rahe hain #shair

demhadiabo Obaid Ahmed
laakh #manzil se hoon aage phir bhi ai josh-e-talab, mudh ke dekho to ke main aakhir kahaan tak aa gayaa #shair

demhadiabo Obaid Ahmed
har #manzil -e-hayaat se gum kar gayaa mujhe, mudh mudh ke raah mein vo teraa dekhanaa mujhe #shair @VikrantDave @saima2000 @iamrana
23 Sep

suhelbaxi suhel baxi
Na Koi #Manzil, Na Ishara Hai Koi, Na koi Sahil, Na kinara hia koiSunayen Bhi to kise is dil ka hal Na Hum Kisi KeNa Hamara hai Koi


demhadiabo Obaid Ahmed
ye kyaa uthaaye qadam aur aa gaee #manzil , mazaa to jab hai ke pairon mein kuch thakan rahe #shair

demhadiabo Obaid Ahmed
manzilen duur-tar ho gaeen, faasile kam se kam rah gaye #manzil #shair

suhelbaxi suhel baxi @
Aaj manzil pe khara hai woh nayi shaan ke sath/ Tum haste thay jisse raste main gira ke log #Shair #Manzil

demhadiabo Obaid Ahmed
kyaa hua husn ham-safar hai yaa nahin, ishq manzil hi manzil hai raasta nahin #manzil #shair @

zeeshaunn Zeeshaun Talat
#Manzil ki justuju mein kyon phir raha hai raahi , Itna azeem ban ja ki manzil tujhe pukaare #Shair

demhadiabo Obaid Ahmed
safar-e- #manzil -e-shab yaad nahin, log rukhsat huye kab yaad nahin #shair

demhadiabo Obaid Ahmed
nahin nigaah mein #manzil to justajuu hi sahi, nahin visaal mayassar to aarazuu hi sahi #shair

demhadiabo Obaid Ahmed
duur hai #manzil raahein mushkil aalam hai tanahaee ka, aaj mujhe ehasaas huaa hai apani shikastaapaaee ka #shair

infinite_zeero Hashim Ansari @
main akela hi chala tha janib e #manzil magar/ log sath aate gaye aur karwaan banta gaya #shair

sameenakhan786 Sameena Khan @
#manzil ki raah me kyo phir raha hai raahi ..itna Azeem ban ja #manzil tujhe pukare..

salmanusmani Salman Usmani @
Aab la paa, Chaak daama, Sar bakaff / Jaa raha hoon apni #manzil ki taraf.

shariq111 shariq siddiqui @
pake #manzil bhi beqarari hai.. .zindagi ab bata kidhar jau. #By me


m_salik salik ali
Baqi hosh Tabhi tak jab tak Jalta toor Nahi Hai/ Thak Kar baith gaye Q bhai #manzil ab door Nahi Hai #Shair #RSDinkar

aptrivedi Atul
Masnad-e-gul #Manzil-e-shabanam Hui/ dekh Rutba Deeda-e-bedaar Ka #Shair


aptrivedi Atul
chaand Ne Kya-kya #Manzil Kar Lee Nikalaa Chamakaa Doob Gaya/ ham Jo Aankh Jhapak Len So Len aye Dil Hamko Raat Kahaan #Shair

iamrana Rana Safvi
Agar mehnat mein kuchh akhlas bhi hai, Toh, mil jaati hai #manzil gumrahi se. #shair

unknown_indian Truth hurts @
ek ek karke hue jaate haiN taare raushan ! Meri #manzil ki taraf tere qadam aate haiN !! #shair


asmakadri Asma G. Khan
#Manzil na de charaagh na de, hausala to de. Tiinke ka hi sahi magar aasraa to de.. #Shair

unknown_indian Truth hurts @
aiin-e-nau se darna tarz-e-kuhan pe adhna ! #manzil yahi kathin hai qaumoN ki zindagi men !! #shair


iamrana Rana Safvi
Fiza subah-e-tabassum-e.bahaar thi lekin, Pahu’nch ke manzil-e-jaanaa’n pe aa’nkh bhar aai. #shair #manzil #Firaq


iamrana Rana Safvi
Haan abhi door, bahut door mujhe jaana hai, Alwida! ai mah-o-khurshid, ke hoon pa-ba-rakaab. #Firaq #manzil #shair


iamrana Rana Safvi
Kaun sitare chhoo sakta hai, Raah mein saans ukhar jaati hai. #AkhtarulIman #shair #manzil


aptrivedi Atul
jo Khud Ko Kah Rahe Hai Ki #Manzil Shanaas Hain/ unko Bhi Kya Khabar Hai Magar Poochhate Chalo #Shair #Sahir

iamrana Rana Safvi
Yaaraan-e-tez gaam ne mahmal ko ja liya, Hum mahw-e-nala-e-jars-e-kaarwaan rahe. #shair #manzil #Hali

aptrivedi Atul
Har Manzil Ik #Manzil Hai Nayi Aur Aakhiri Manzil Koyi Nahin/ ik Saile-ravane-darde-hayat Aur Dard Ka Saahil Koyi Nahin #Shair

iamrana Rana Safvi
Laakhon hi musaafir chalte hain, #manzil pe pahunchte Hain do ek,Ai, ah1-e-zamaana qadar karo, nayaab na hon, kaamyaab Hain hum. #shair


iamrana Rana Safvi
Nairangi-e-sayaasat-e-dauraan tau dekhiye, #Manzil unhen mili jo shareek~e-safar na the #shair


iamrana Rana Safvi
Kaat di yoon hum ne #Jazbi, raah-e-#manzil kaat di, Gir pare har gaam par, har gaam par sambhla kiye. #shair


aptrivedi Atul
falak Ke Dasht Me Taaro Kee Aakhiree #Manzil / kahee To Hogaa Shab-e-sust Mauj Kaa Saahil #Shair #Faiz


aptrivedi Atul
Ai Jazb-e-dil Gar Mai Chaahoon Har Cheez Muqaabil Aa Jaae/ manzil Ke Liye Do Gaam Chaloon Aor Saamane #Manzil Aa Jaae #Shair


demhadiabo Obaid Ahmed
Kabhi taqdeer ka maatam kabhi duniya ka gila, #manzil -e-ishq mein har gaam pe rona aaya #shair


m_salik salik ali
Raste apni jagah #manzil apni jagah / jab kadam hi koi sath na de toh musafir kiya kare #Shair


muslim4reform Muslim 4 Reform @
Iraadon ki kuwwat, azaaim ke bal par/ Shikasta kadam dhoond lete hai #manzil #shair


rmanish1 Manish Rathore
#Manzil na de charag na de hausla to de; Tinke ka hi sahi tu magar aasara to de #RanaSahari


suhelbaxi suhel baxi
Raaz na ayegi duniya hame manzil ka na hei koi thikana / phir kyo chale hei bebas hoke age pata nahi kya ho pashana #Shair #Manzil


demhadiabo Obaid Ahmed
Har gaam hai majma-e-ushshaaq muntazir,maqtal ki raah milati hai kuu-e-habib se #manzil #shair


aptrivedi Atul
Uthh Ke #Manzil Hi Aaye To Shayad Kuchh Ho/ Shauk-e-Manzil To Mera Aabla-paa Ho Baitha #Shair #Shehzad

demhadiabo Obaid Ahmed
Aey jazba-e-dil gar main chahun har cheez muqaabil aajaye, #manzil k liye do gaam chalun aur saamne manzil aajaey #shair


muslim4reform Muslim 4 Reform @
#Manzil pe mujhko dekh ke hairaan hai mere dost/ Lekin kisi ne paaon ke chaaley nahi dekhe #shair


juneymb J. M. B.
Raah e dil pe chalte gaye,#manzil toh mili nahi,raah bhi bhuul gaye #Shair


aptrivedi Atul
Kisi Ko Ghar Se Nikalte Hi #Manzil Mil Gayi/ Koi Hamari Tarah Umr Bhar Safar Mein Raha #Shair #Faraz


suhelbaxi suhel baxi
Hasrat pe us musaafir bekas ke roye Jo thak ke baith jaata hai manzil ke saamne #Shair #Manzil


muslim4reform Muslim 4 Reform @
Bhatak kar sahi, #manzil to mil hi jaaegi/ Gumraah hai vo jo gharse nikale hi nahi #shair


suhelbaxi suhel baxi
manzilen duur bhii hain manzilen nazadiik bhii hain/ apane hii paaon me.n zanjiir paDii ho jaise #Shair #Manzil


suhelbaxi suhel baxi
aise chup hai.n ke ye manzil bhii ka.Dii ho jaise/ teraa milanaa bhii judaa_ii ki gha.Dii ho jaise #Shair #Manzil


iamrana Rana Safvi
The woods are lovely dark and deep but I have promises to keep and miles to go before I sleep #manzil #shair #RobertFrost
23 Sep

demhadiabo Obaid Ahmed
dil ki bebasi ko bata nahi sakta,kitni dilchasp hai mohabbat ki majburiya,samne #manzil hai aur kadam aage badha nahi sakta #shair


DrTahirZaidi Dr.Tahir Zaidi @
Main akela hi chala tha janib e #Manzil magar/ log saath aatey gaye aur kaarwan banta gaya


muslim4reform Muslim 4 Reform @
Chaley saath kiske, kahaan aa gaey hum/ Ye rehbar nahi hai, ye #manzil nahi hai #shair



JosepEgypt Josep @
Faiz thi rah sar ba sar #Manzil/ Hum jahaN punhchey, kamyaab aaye!


rmanish1 Manish Rathore
Nahin Nigaah Main #Manzil To Justaju Hi Sahi ; Nahin Visaal Mayassar To Aarzu Hi Sahi #Faiz


muslim4reform Muslim 4 Reform @
kabhii taqdiir kaa maatam kabhii duniyaaa kaa gilaa/ #manzil-e-ishq men har gaam pe ronaa aayaa


infinite_zeero Hashim Ansari @
manzilon ki baat chhodo,kis ne payi manzilein/ ek safar acha laga, ek hum safar acha laga #shair #manzil


Sushant243 Sushant Jain 'Ankur' @
Jabse chala hoon meri #manzil par nazar hai // ankho ne kabhi meel ka patthar nahi dekha #shair

rmanish1 Manish Rathore
Taa-Umr Dhundhtaa Raha #Manzil Main Ishq Ki ; Anjaam Ye Ki Gard-E-Safar Leke Aa Gaya #SudarshanFakir #Shair

Happysaif HaPpY sOuL
bahot khoooooob RT @rmanish1: Door Hai #Manzil Raahain Mushkil Aalam Hai Tanhaai Ka ;Aaj Mujhe Ehsaas Hua Hai Apni Shikastapaai Ka #Shakil


Sushant243 Sushant Jain 'Ankur'
Kya kahne RT @rmanish1: Dhoondhta Phirta Hoon Ai #Iqbal Apne Aap Ko // Aap Hi Goya Musafir Aap Hi #Manzil Hoon Main


suhelbaxi suhel baxi
Kuchh log aise hote hain jo pal bhar me paraya kar jatey hain Manzil ko dekhtey hi ek pal me rasta badal jatey hain #Shair #Manzil


rmanish1 Manish Rathore
Ik Ik Kar Ke Hue Jaate Hain Taare Roshan ; Meri #Manzil Ki Taraf Tere Qadam Aate Hain #Faiz


suhelbaxi suhel baxi
Ranj-E-Rah Kyun Khenchiye Vaamandagi Ko Ishq Hai/ Uth Nahin Sakta Hamaara Jo Qadam Manzil Main Hai #Shair #Manzil


rmanish1 Manish Rathore
Dhoondhta Phirta Hoon Ai #Iqbal Apne Aap Ko ; Aap Hi Goya Musafir Aap Hi #Manzil Hoon Main



rmanish1 Manish Rathore
Door Hai #Manzil Raahain Mushkil Aalam Hai Tanhaai Ka ;Aaj Mujhe Ehsaas Hua Hai Apni Shikastapaai Ka #Shakil


suhelbaxi suhel baxi
Manzil ki talash mein bhagte, beet jaati hai zindagi. Manzil tak pahaunche bhi to adhoori lagti hai zindagi.#Shair #Manzil


muslim4reform Muslim 4 Reform
Mere matlab ka woh aalam meri nazar main raha Keh #manzil on peh pahunch kar bhi mayn safar main raha #shair


DrTahirZaidi Dr.Tahir Zaidi @
Qurb e #Manzil tak pahunch kar tha wo sab ke saath/ jaaney phir kyon raasta sab se juda uska hua #MohsinZaidi #Shair


aptrivedi Atul
नहीं निगाह में मंज़िल तो जुस्तजू ही सही/ नहीं विसाल मयस्सर तो आरज़ू ही सही #Faiz #Shair #Manzil


iamrana Rana Safvi
wah wah RT @suhelbaxi: Manzilon Ko Nahi Naseeb Mere Kaafile To Kya/ Rahon Pe Mere Kadmon Ke Nishaan Aaj Bhi Hain ! #Shair #Manzil
23 Sep

JosepEgypt Josep @
@iamrana @juneymb Yeh daag daag ujala, yeh shab gazidah saher/ Woh jis ki talaash thi, ye woh #Manzil to nahiN #Shair
23 Sep

iamrana Rana Safvi
waah RT @suhelbaxi: Sagar ki har kasti ko bhi to kinare milate hai,/ Manzil pe chalne walo ko mukam milte hai ! #Shair #Manzil
23 Sep

suhelbaxi suhel baxi @
@iamrana @juneymb Ae Mere Humsafar, Ek Zara Intezaar Sun Sadaayein De Rahi Hain Manzil Pyaar Ki #Shair #Song #Manzil
23 Sep

iamrana Rana Safvi
lovely RT @aptrivedi: Rasta bhul gaya ya yahan #manzil hai meri / Koi laya hai ya Khud aaya hun malum nahin #Shair #KaifiAzmi
23 Sep

iamrana Rana Safvi
RT @aptrivedi: Tanhai ki ye kaun si #manzil hai rafiqo / Ta-hadd-e-nazar ek bayabaan sa kyun hai #Shahryar #shair
23 Sep

Farrenhite Farhan Siddiqui
"Hamare shauq ki wo inteha thi/ Qadam rakha ke manzil raasta thi." #JavedAkhtar #Manzil #shair
23 Sep


muslim4reform Muslim 4 Reform @
Kya milegi usay bhala #manzil/ Jisne thokar kabhi nahi khaai #shair


juneymb J. M. B.
Na koi raah, na #manzil ,na roshni ka suraag,bhatak rahi hai andheron mein zindagi meri,inhi andheron mein reh jaon ga kabhi kho kar #Shair



suhelbaxi suhel baxi
Aaj Bhi Ojhal HaiNigahon Sey Nishan-E-Manzil….! Aye Zindagi Tu Hi Bata,Kitna Safar Baqi Hay #Shair #Manzil


suhelbaxi suhel baxi
Manzile Bhi Uski Thi Rasta Bhi Uska Tha Mai Akela Tha Aur Qafila Bhi Uska Tha #Shair #Manzil


muslim4reform Muslim 4 Reform
Main raahi hu, hazaro raaste hai muntzar mere/ Kisi #manzil ko samjha hi nahi he aakhri maine


suhelbaxi suhel baxi
Yeh Kis Mod Pe Aagaee Hain Umeedain Ke Saaya-E-Manzil Nazar Main Na Aaya #Shair #Manzil

suhelbaxi suhel baxi
Manzilain Sab Ka Muqadar Hon Yeh Zaroori To Nahin/ Kho Bhi Jaatay Hain Nayi Raahon Par Chalnay Walay #Shair #Manzil


suhelbaxi suhel baxi
Kal samne manzil thi aur peeche us ki aawaz/ Rukta to safar jaata chalta to bicharr jata.... #Shair #Manzil


muslim4reform Muslim 4 Reform @
Main raahi hoon, hazaaro raaste hai muntazar mere/ kisi #manzil ko samjha hai aakhri maine


suhelbaxi suhel baxi
Khuda Kary Key Saari Umar Mujhe Manzil Na Mile/ Badi Mushkil Se Wo Raazi Hua Hai Sath Chalny Ko #Shair #Manzil


suhelbaxi suhel baxi
Zameen Par Paanv Nakhvat Se Nahin Rakhte Pari-Paikar/ Ye Goya Is Makaan Ki Dusri Manzil Main Rahte Hain #Shair #Manzil


suhelbaxi suhel baxi
Butan-e-mahavash ujadi hui manzil men rahate hain Ke jis ki jan jati hai usi ke dil men rahate hain @iamrana @aptrivedi #Shair #Manzil


NaveedAhamed1 Naveed Ahamed
shahar ke Khaalii sTeshan par/ko_ii musaafir #Manzil ko dhoondta hogaa #shair

khushrang_heena gulshan a.k.a Heena
Shakeel doori-e-manzil se naummeed na ho...#Manzil ab aa hi jaati hai, ab aa hi jaati hai #NoteToSelf :| #Shair

2 comments:

  1. ... there you begin in the name of Almighty Merciful

    ReplyDelete
  2. Koh-e-Noor ki sarzameen par phaela hua hai karwaan hamara
    magar charcha bikhra hua hai har taraf hamara!!!

    ReplyDelete