Tuesday 27 September 2011

Munawwar Rana #shair of the Day

27th September 2011


GaziMumbai Gazi @
(1/2) Siyaasi guftagu mat kijiye, acha nahin lagta .. Rafoo par phir rafoo mat kijiye, acha nahin lagta
GaziMumbai Gazi @
(2/2) Bahaya kijiye do chaar aansoo bhi mohabbat mein .. Ibaadat be wazu mat kijiye, acha nahin lagta

ShaiqKhan Shaiq Ali Khan @
Masarraton ke khazaane to kam nikalte hain/ Kisi bhi seeney ko kholo to gham nikalte hain

akhtar978 Akhtar Hussain
Humaare kuchh gunaahon kii sazaa bhi saath chalti hai ! hum ab tanha nahin chalte, dawaa bhi saath chaltii hai !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Kahaan tak jheel mein paani rahe aankhein samajhti hain ! kahaan tak zakhm ko bharna hai yeh marham samajhta hai

akhtar978 Akhtar Hussain
zabaan do chahne waalon ko shaayad door kar degi ! main bangla kam samajhta hoon, woh urdu kam samajhta hai !!

akhtar978 Akhtar Hussain
kahaan rona hai mujhko deeda-e-purnam samajhtaa hai ! main mausam ko samajhta hoon mujhe mausam samajhta hai !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Aur kitnii thokarein khaayeegi tuu aye zindagi ! khudkushi karne ko maikhaane talak toh aa gayee !!

wwwjameel Jameel Aahmed
is tarah mere gunahon ko wo dho deti hai, maaN bahut gusee mein hoti hai to ro deti hai..

wwwjameel Jameel Aahmed
Labon par uske kabhi bad'dua nahi hoti, bas ek maaN hai jo kabhi khafa nahi hoti

urdu_india shams
Ishq hai to ishq ka izhaar hona chahiye:: aapko chehre se bhi beemar hona chahiye

dibang dibang
gurbat par: bojh uthana shauq kahan hai majboori ka sauda hai/ rahte rahte station par log kuli ho jaate hain:

akhtar978 Akhtar Hussain
Mohabbat roz pat'thar se humein insaan banaati hai ! Ta'aassub roz inn aankhon pe parda daal jaata hai !!

dibang dibang
ye aisa karz hai jo mein adaa kar hee nahee sakta/ mein jab tak ghar na lautun meri maan sajde mein rahti hai.

GaziMumbai Gazi
(1/2) Bohat si kursiyaan is mulk me laashon pe rakhi hain .. Ye woh sach hai jise jhote se jhota bol sakta
GaziMumbai Gazi
(2/2) Sooraj ne bade ghuroor se kaha tha ke Shabba Khair .. Mumkin nahin tha aise mein jugnu na bolta
urdu_india shams
Hai rooh be-qaraar abhi tak yazeed ki wo isliye ke aaj bhi pyaasa mazey mein hai...

urdu_india shams
Mitti ka badan kar dia mitti ke hawaaley:;: mitti ko kisi taajmahal mein nahi rakhkhaa

KP099 Kumar
Ghulaami ne abhi tak mulk ka peechha nahi chhoda // hume phir qaid hona hai ye aazaadi batati hai

KP099 Kumar
Mein apna lehza to tabdeel kar nahi sakta // balaa se jaaye agar Karobaar jata hai

urdu_india shams
ham saayadar ped zamaane ke kaam aaye, Jab sookhne lagey, to jalaane ke kaam aaye

akhtar978 Akhtar Hussain
Agar sach bolne waalon se khatraa hai hukoomat ko ! toh phir sun le hukoomat haath se bangaal jaata hai !!

urdu_india shams
shagufta* log bhi tootey huey hotey hain andar se::: bahut rotey hai hai wo jinko lateefey yaad rahte hain..

akhtar978 Akhtar Hussain
Munaasib hai kii pehle tum bhi aadamkhor ban jaao ! kahin sansad mein khaane koi chaawal-daal jaata hai

GaziMumbai Gazi @
Tere daaman ne saare shehar ko sailaab se roka .. Nahin to mere ye aanso samunder hogaye hote

akhtar978 Akhtar Hussain
Ghazal kii saltnat par aaj tak qabzaa humaara hai ! hum apne naam ke aagey abhi "Rana" lagaate hain !!

GaziMumbai Gazi @
Numaish par badan ki yun koi taiyyar kyon hota .. Agar sab ghar ke hojate to ye bazaar kyon hota

KP099 Kumar
Umrr ek talkh haqeeqat hai doston phir bhi // Jitne tum badle ho utna nahi badla jaata

akhtar978 Akhtar Hussain
Woh shaayar hon ki aalim hon, ki taajir yaa lutere hon ! siyaasat woh jua hai jisme sab paise lagaate hain

urdu_india shams
Jism par mitti malenge,paak ho jaayenge ham:;; Ae zamee.n ek din teri khuraak ho jayenge ham..

oongalbaaz Finger Poker
Muddatein ho gayin khul kar kabhi royee nahi / Ek zamana hua main chain se soyee nahi ll

urdu_india shams
ye dekh kar patangey bhi hairaan ho gayee.n::; ab to chchatein bhi hindu-musalmaan ho gayeen

urdu_india shams
giley shikwey zarooro hai agar sachchi mohabbat hai; jaha paani bahut gehra ho ,thodi kaayi rahti hai

urdu_india shams
meri sohbat mein bhejo taaki iska dar nikal jaaye:;;bahut sahmi hui darbaar mein sachaai rahti hai

GaziMumbai Gazi
(1/2) Calcutta mere saath raha main jahan raha .. Phir kaise mere lehje ka jaado na bolta

akhtar978 Akhtar Hussain
Yeh manzar bhi dekhe humne iss duniyaa ke mele mein ! toota-phoota naach rahaa hai, achchha khaasa toot gayaa !!

urdu_india shams
giley shikwey zarooro hai agar sachchi mohabbat mein; jaha paani bahut gehra ho ,thodi kaayi rahti hai..

akhtar978 Akhtar Hussain
Ghar ka bojh uthaane waale bachpan kee taqdeer na poochh ! bachchaa ghar se kaam pe nikla aur khilona toot gayaa !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Samjhauton kii bheed-bhaad mein sabse rishtaa toot gayaa ! itney ghutney teke humne aakhir ghutna toot gayaa !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Siyaasi vaar bhi talvaar se kuchh kam nahin hota ! kabhi kashmir jaata hai, kabhi bangaal kat'taa hai !!


akhtar978 Akhtar Hussain
Humaari zindagi ka iss terha har saal kat'taa hai ! kabhi gaadi palat'tii hai, kabhi tirpaal kat'taa hai !!

KP099 Kumar @
Once again..for those who missed it RT @p1j हमें तो भेजा गया है समंदरों के लिए/हमारी उम्र किनारे नहीं गुज़रती है

akhtar978 Akhtar Hussain
kabhi ek garm aansoo kaat deta hai chattaano ko ! kabhi ek mom ke tukde se chhainii toot jaati hai !!
akhtar978 Akhtar Hussain
Woh dushman hii sahi, awaaz de usko mohabbat se ! saleeqe se bithaa kar dekh haddii baith jaati hai !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Siyaasat nafraton ka zakhm bharne hii nahin deti ! jahaan bharne ko aata hai toh mak'khii baith jaati hai !!

akhtar978 Akhtar Hussain
main unn aankhon ke maikhaane mein thodi door baithaa thaa ! Mujhe duniyaa nashe ka aaj tak aadii bataati hai !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Ghareebi kyun humaare shehar se baahar nahin jaati ? ameer-e-shehar ke ghar har ek shaadi bataati hai !!

akhtar978 Akhtar Hussain
yahaan veeraaniyon ki ek muddat se hukoomat hai ! yahaan se nafratein guzrii hain barbaadi bataati hai !!

oongalbaaz Finger Poker
Woh chahta tha ke main apne dil ki baat kahun / Magar zaba'n ko khuddariyon ne gher liya ll
dibang dibang
can hear the wahwahs! zara see baat hai lekin hawa ko kaun samjhaye/ diye se meri maan mere liye kajal banati hai

wwwjameel Jameel Aahmed
Jab bhi kashti meri sailaab me aa jaati hai.... / Maa' dua karti hui khwaab me aa jaati hai

rajextra Raj
Meri khwahish hai ki main fir se farishta ho jaun /maa se is tarah liptun ki bachcha ho jaun

aptrivedi Atul
Fazaan mein ghol di hai nafratein ahal-e-siyasat ne/magar pani kuen se ab tak mitha nikalta hai

dibang dibang
gurbat par: bojh uthana shauq kahan hai majboori ka sauda hai/ rahte rahte station par log kuli ho jaate hain

suhaibiqbal Suhaib Iqbal
Abhi zinda hai maa meri mujhe kuch bhi nahi hoga/main jab bhi ghar se nikalta hun dua bhi saath chalati hai

aptrivedi Atul
Meri khwahish hai ki main fir se farishta ho jaun /maa se is tarah liptun ki bachcha ho jaun

aptrivedi Atul
Kisi ko ghar mila ya hisse mein koi dukaan aai/main ghar mein sabse chhota tha mere hisse mein maa aai

lutera_ लुटेरा
Hai agar dil kise ke koi shaq niklega//jism se khun nahi sirf namak niklega

aptrivedi Atul
Hum kuchh aise tere didar mein kho jate hain/jaise bachche bhare bazar mein kho jate hain

aptrivedi Atul
Tujhse bichhda to pasand aa gayi betartibi/ isse pahale mera kamara bhi gazal jaisa tha

dibang dibang
suna hai jab se tay hote hain rishte aasmano mein/ voh pagli ungalion se rozo-shab badal banati hai:

aptrivedi Atul
Tujhe akele padhun koi hum-sabak na rahe/main chahata hun ki tujh par kisi ka haq na rahe

p1j Pavan Jha
Today's #Shair sher of #munawwar rana dedicated to @AuteurPravesh on His BDay हमें तो भेजा गया है समंदरों के लिए/हमारी उम्र किनारे नहीं गुज़रती है

aptrivedi Atul
Sirfire log hame dushmanejaan kahate hain /jo ham is mulk ki mitti ko bhi maa kahate hain #mrana #shair

dibang dibang
imagery dekhen: mein patariyon ki tarah zamin par pada raha/ seene se gam guzarate rahe rail ki tarah

aptrivedi Atul
Main apna lehza to tabdil kar nahi sakata /balaa se jaye agar karobaar jata hai #Shair #mrana 6 minutes ago

lutera_ लुटेरा
Mai to jis desh mein aayi,wo yad ra ha//hoke bewa bhi mujhe sirf pati yad rha #shair #Mrana

dibang dibang
lipat jata hun maan se aur mausi muskarati hai/ mein urdu mein gazal kahta hun hindi muskarati hai.

dibang dibang
ye aisa karz hai jo mein adaa kar hee nahee sakta/ mein jab tak ghar na lautun meri maan sajde mein rahti hai.

lutera_ लुटेरा
maine unn aankhon ke maykhane mein thodi der baitha tha,mujhe duniya nashe ka aaj tak aadi samjhati hai

iamrana Rana Safvi
yahaan par baith kar daawaa na keeje paarsaayee kaa; ghataa shaano pe jhuk jaaye to taubaa ki nahin chalti.

lutera_ लुटेरा
talwar ke miyan kabhi fekna nhi , mumkin hai dushmano ko darane k kaam aaye

dibang dibang @
mein aapbeetee ko jagbeetee aur jagbeetee ko aapbeetee ke libaas se aarasta karke gazal banata hun:

lutera_ लुटेरा
Hum sayadar paid zamane ke kam aaye,,jab sukhne lage to jalane ka kam aaye.

iamrana Rana Safvi
na dhoondho tum yahaan langdaa ke chaltaa aadmi koi; jahaan khudaariyaan hoti hain baisaakhi nahin chalti

dibang dibang
iss tarah mere gunahon ko voh dho deti hai/ maan bahut gusse mein hoti hai toh ro deti hai:

iamrana Rana Safvi
faqeeri se hameshaa .baadshaahat khauf khaati hai; diye ke saamne aandhi ki .bebaaki nahin chalti

dibang dibang
agar mere #shair emtional blackmailing hain to shravan kumar ki farma-bardari ko ye naam kyun nahi diya jata

iamrana Rana Safvi
ye sahraa hai,miyaan!.sahraa mein... chaalaaki nahin chalti; yahaan ...majnoo ki chal jaati hai ....lailaa ki nahin chalti.

iamrana Rana Safvi
humhi thame rahe diware warna/ saliqe se buzorgon ki nishani kaun rakhta hai

iamrana Rana Safvi
hum sayadaar pedh zamane k kam aaye jab sukh ne lage to jalane k kam aaye

iamrana Rana Safvi
aadatein ab bhi hain uski wahi pahle jaisi, sirf kapde wo sharifon ke pahan aaya hai.

lutera_ लुटेरा
kai batein muhbbat sabko bunyadi batati hai,jo pardadi batati thi,wahi dadi batati hai

lutera_ लुटेरा
har ek aawaz urdu ko fariyadi batati hai,ye pagli fir bhi ab tak khud ko shajadi batati hai

DrTahirZaidi Dr.Tahir Zaidi
Kitney majboor hain is ahad ke boodhey baba / apney bacchon ki nasihat bhi nahin kar saktey

AuonMusvi AuonMusvi
Din K Dhaltay He Ujjar Jaati Hain Aankhain Aisay // Jiss Tarhan Shaam Ko, Bazaar Kisi Gaaon Ka...

dibang dibang @
ghar mein rahte huye gairon ki tarah hoti hain/ betiyan dhaan ke paudhon ki tarah hoti hain:

khushrang_heena gulshan a.k.a Heena
gulaami ne abhi tak mulk ka peecha nahi chorha.. hume fir qaid hona hai ye aazaadi bataati hai.. #Shair

khushrang_heena gulshan a.k.a Heena
Lahu kaise bahaaya jaaye ye leader bataate hain .. lahu ka zaayqa kaisa hai ye khaadi bataati hai #OpenTweetToPoliticians

lutera_ लुटेरा
कम से कम बच्चो कि हँसी के खातिर ऐसी मिट्टी मे मिलाना कि खिलौना हो जाउ

dibang dibang @
zara see baat hai lekin hawa ko kaun samjhaye/ diye se meri maan mere liye kajal banati hai:

khushrang_heena gulshan a.k.a Heena
Meri chaahat ka faqeeri se sila milta hai.. koi number bhi milata hoon tera milta hai

lutera_ लुटेरा
सोचता हूँ तो झलक उठती है आँखे तेरे बारे में न सोचू तो अकेला हो जाउ #Mrana


akhtar978 Akhtar Hussain
Be-sabab ishq mein marna mujhe manzoor nahin ! shamaa toh chaah rahi hai ki patagaa ho jaaun !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Chaaragar teri mahaarat pe yaqeen hai lekin ! kyaa zaroori hai ki har baar main achchha ho jaaun !!

khushrang_heena gulshan a.k.a Heena
Hum ke shayar hain siyasat nahi aati humko.. Humse munh dekh ke lehja nahi badla jaata #OpenTweetToPoliticians

akhtar978 Akhtar Hussain
Sochta hoon toh chhalak uth'ti hain meri aankhein ! tere baare mein na sonchoo toh akela ho jaaun !!

lutera_ लुटेरा
जो भी दौलत थी वो बच्चो के हवाले कर दी,,जब तक मै न बैठू ये खड़े रहते है

akhtar978 Akhtar Hussain
Ek kamre mein basar karta hai saara kunbaa ! saari duniyaa dil-e-betaab mein aa jaati hai !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Raat bhar jaagtey rehne ka sila hai shaayad ! teri tasveer see mehtaab mein aa jaati hai !!


akhtar978 Akhtar Hussain
Jab bhi kashti meri sailab mein aa jaati hai ! Maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Shohrat mujhe milti hai toh chupchaap khadi reh ! ruswaayee main tujhse bhi mansoob rahaa hoon !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Ruswaayee mere naam se mansoob rahii hai ! main khud kahaan ruswaayee se mansoob rahaa hoon !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Ab koi shanaasa bhi dikhaayee nahin deta ! barson main issi shehar ka mehboob rahaa hoon !!

lutera_ लुटेरा
हम सायादार पेड़ जमाने के काम आए,जब सुखने लगे तो जलाने के काम आए

akhtar978 Akhtar Hussain
Duniyaa teri raunaq se, main ab oob rahaa hoon ! tuu chand mujhe kehti thee main doob rahaa hoon !!

lutera_ लुटेरा
मैने फल देखकर इंसान को पहचाना है,जो बहुत मीठे हों,अंदर से सड़े रहते है

khushrang_heena gulshan a.k.a Heena
Bas itni iltiza hai tum ise #Gujarat mat karna.. tumhe is mulk ka maalik main jeete ji banata hoon.. #OpenTweetToPoliticians

khushrang_heena gulshan a.k.a Heena
main apne gaaon ka mukhiya bhi hun, bacho.n ka qaatil bhi.. jalaakar doodh kuch logon ki khaatir ghee banata hoon

lutera_ लुटेरा
मै उन आँखो के मयखाने मे थोड़ी देर बैठा था,,मुझे दुनिया नशे का आज तक आदी बताती है

sai_ki_bitiya Sai ki Bitiya
tujhse bichhDaa to pasand aa gayii be-tartiibii isse pahle meraa kamraa bhii Gazal jaisaa thaa

lutera_ लुटेरा
कई बातें मुहब्बत सबको बुनियादी बताती है,,जो परदादी बताती थी वही दादी बताती है

Girdafreed_ The Shepherd
naye kamron men ab cheezen purani kaun rakhta hai;parindon keliye shaharon men paani kaun rakhta hai

lutera_ लुटेरा
हर एक आवाज़ उर्दू को फरियादी बताती है,ये पगली फिर भी अब तक खुद को सहजादी बताती है !

suhelbaxi suhel baxi
bulandi der tak kis shakhs ke hisse mein rahti hai; bahut oonchi imaarat har ghadi khatre mein rahti hai

suhelbaxi suhel baxi
hum sayadaar pedh zamane k kam aaye/ jab sukh ne lage to jalane k kam aaye

urdu_india shams
ye fann koi faqeer sikhaayega aapko: heere ko phool ki patti se kaatna

suhelbaxi suhel baxi
tu bewafa hai to le ek buri khabar sunn le/ ke intazaar mera dusra bhi karta hai


oongalbaaz Finger Poker
Abhi sharaab na dena maza na ayega / Abhi aankhon me nasha kisi ke pyar ka hai

DrTahirZaidi Dr.Tahir Zaidi @
Bahut si kursiyan is mulk me laashon pe rakhi hain / ye wo sach hai ke jo jhootey se jhoota bol sakta hai

suhelbaxi suhel baxi @
MASAYAL NE HAME BOODA KIYA HAI WAQT SE PAHLE/ GHRELU ULJHNE AKSAR JAWANI CHEEN LETI HAIN

iamrana Rana Safvi
mere aagan ki kaliyo k tamanna shahzadon ki/ magar meri bhi majboori k mai bidi banata hoon

iamrana Rana Safvi
main apni haar pe naadim iss yakeen ke saath/ ke apne ghar ki hifazat khuda bhi karta hai


DrTahirZaidi Dr.Tahir Zaidi @
Hukoomat ki tawajjo chahti hai ye jali basti / adaalat poochna chahey to malba bol sakta hai

urdu_india shams
apni yaaado se kaho ek din ki chuttee dein mujhe:;; Ishq ke hissey mein bhi itwaar hona chahiye

Stay_Connectedd 'SPK'
Samandar ki nazare uski badahve pe markooz rehti Hai ,Main darya hu mujhe apne kinare yaad rahte Hai

Stay_Connectedd 'SPK'
Bichad kar bhi muhobbat ke zamane yaad rahte Hai,Ujadti jati Hai mehfile or chahare yaad rahate Hai

iamrana Rana Safvi
Jo hukum deta hai vo iltija bhi karta hai/ ye aasmaan kahin per jhuka bhi karta hai

iamrana Rana Safvi
kaho andhero se daman samet le apna/ mai jugnuo ko alambdaar karne wala hun

maheshpareek_33 maheshpareek @
meri khawaish hai ki mai fir se farishta ho jaun \ maa se is tarah lipat jaun ki baccha ho jaun

oongalbaaz Finger Poker
Ghulami ne abhi tak mulq ka pichaa nahi chhoda / humein phir qaid hona hai ye azadi batati hai

oongalbaaz Finger Poker
Lahoo kaise bahaya jaaye ye leader batate hain / Lahoo ka zayka kaisa hai ye khaadi batati hai ll

maheshpareek_33 maheshpareek @
Ye chidiya bhi meri beti se kitni milti julti hai. Kahin bhi shaakh e gul dekhati hai jhoola daal deti hai

rmanish1 Manish Rathore
Zara si baat hai lekin hawa ko kaun samjhaye ; Diye se meri Maa mere liye kajal banati hai

oongalbaaz Finger Poker
Har ek awaaz urdu ko fariyaadi batati hai / Ye pagli phir bhi ab tak khud ko shehzadi batati hai ll

oongalbaaz Finger Poker
Maine phal jaise insaano ko pehchana hai / jo bahot mithey hon, andar se saddey hotey hain ll

urdu_india shams
Dil ki galiyo se teri yaad nikalti hee nahi:; Sohnee phir isi punjab mein aa jaati hain

oongalbaaz Finger Poker
Jao jaa kar kisi Darvesh ki azmat dekho / Taj pahne huye pairo’n mein padey rahte hain ll

urdu_india shams
Dil ki galiyo se teri yaad nilatee hee nahi, Sohnee phir isi punjab mein aa jaati hai...

maheshpareek_33 maheshpareek @
Lagti nahi hai mujhko masaaheb ki tej dhoop\ chatri hai ek sar par duaaon ki lagi huyi.

iamrana Rana Safvi @
yahiin se aman kii tabliig roz hotii hai/ yahiin pe roz kabuutar halaal hotaa hai

urdu_india shams
kam se kam bachcho ke honto ki hansee ki khaatir:;; aisee mitti me milaana ki khilauna ho jaaun..

urdu_india shams
ek nivaale ke liye mai ne jisey maar diya:;;vo parinda bhi kai din ka bhooka nikla..

urdu_india shams
Dil aisa ki seedhe kiye jootey bhi bado ke::; Zid aisee ki khud taaj utha kar nahi pahna

urdu_india shams
ham eent-eent ko daulat se laal kar dete, Agar zameer ki chidiyaa halaal kar dete...

urdu_india shams
mazhabi mazdoor sab baithey hain inhe kaam do: isi shahr mein ek puraani si imaarat aur hai..

urdu_india shams
Tujh se bichchda to pasand aa gayi be-tarteebi, pahle mera kamra bhi Ghazal jaisa tha.. #shair

urdu_india shams
Umr ek talkh haqiqat hai doston phir bhi:;;. Jitne tum Badle ho, Utna nahi badla jaata

urdu_india shams
bahut jee chaahtaa hai qaid-e-jaan se ham nikal jaayein::; tumhaari yaad bhi lekin isi malbey mein rahti hai

suhelbaxi suhel baxi @
safar ka waqt aa jaaye to phir koi nahi ruktaa/ musaafir khud se chalkar aabodaane tak pohonchta hai

DrTahirZaidi Dr.Tahir Zaidi
Meri khata na thi jo tu ghussey me aagaya/ paisey ka zom tha terey lahjey me aagaya


nilofers Nilofer Shaikh
1/4 Hum dono mein aankein koi geeli nahi karta Gham woh nahi karta hai to main bhi nahi karta
nilofers Nilofer Shaikh
2/4 Mauqa toh kai baar mila hai mujhe lekin ~ Main uss se mulaqaat mein jaldi nahi karta~
nilofers Nilofer Shaikh
3/4 Woh mujhse bichhadne ko bhi taiyyaar nahi hai Lekin woh buzurgo'n ko khafa bhi nahi karta
4/4 Khush rehta hai woh apni gareebi mein hamesha 'Rana' kabhi shaaho'n ki ghulami nahi karta

urdu_india shams
tujhko ae khaak-e-watan mere tay'ammum ki qasam:;; tu bata de jo ye sajdo ke nishaa.N kaise hain..

maheshpareek_33 maheshpareek @
Bus itni baat per usne hame balwaii likha hai. Hamaare ghar ke bartan pe ISI likha hai

nilofers Nilofer Shaikh
1/2 Hamari zindagi ka iss tarah har saal kat'ta hai ~ kabhi gaadi palat'ti hai, kabhi tirpal kat'ta hai

nilofers Nilofer Shaikh
2/2 ~ Dikhaate hai padosi mulq aankhein, toh dikhaane do ~ Kabhi bachho'n ke bosey se bhi maa ka gaal kat'ta hai!

nilofers Nilofer Shaikh
Dil aisa ki seedhe kiye joote bhi bado'n ~ Zidd aisi ki khud taaj uthha kar nahi pehna!
ShaiqKhan Shaiq Ali Khan
Mumkin hai humen gaaoon bhi pehchaan na paaye/Bachpan mein hi hum ghar se kamane nikal aaye! #Diaspora

wwwjameel Jameel Aahmed
Ae andhere dekh le muh' tera kaala ho gaya / Maa' ne aankhen khol di ghar me ujaala ho gay

ShaiqKhan Shaiq Ali Khan @
Cheekhein bhi yahan ghour sey sunta nahi koi/ Kiss sheher mein tum sher sunaney chaley aaye

nilofers Nilofer Shaikh
Hum kuch aise tere deedaar mein kho jaate hai ~ Jaise bacchhe bhare baazaar mein kho jaate hai!

DrTahirZaidi Dr.Tahir Zaidi @
Khilauno ki dukano se ye hokar aap kyon guzrey/ye bacchon ki tamanna hai ye samjhauta nahi karti

iamrana Rana Safvi
baap ka martaba bhi kuch kam nahi hota "LEKIN" / jitni mayee hain farishton ki tarha hoti hain

iamrana Rana Safvi
aapko dekh ke jis waqt patalti hai nazar/ meri aankhein maari aankhon ki tarha hoti hain

urdu_india shams
bas isi baat pr usne hamein balwaai likhkhaa hai:;; hamaare ghar ke bartan pe ISI likha hai...

iamrana Rana Safvi
tut kar yah bhi bikhar jaati hain ek lamhe me/ kuch umeedein bhi gharondon ki tarha hoti hain #betiyan

suhelbaxi suhel baxi
main shohraton kii bulandii par jaa nahin saktaa jahaan uruuj par ponhcho zavaaal hotaa hai

iamrana Rana Safvi
sehmi sehmi hue rahti hain maakan dil me/ aarzooyein bhi gareebo ki tarha hoti hain #betiyan

suhelbaxi suhel baxi @
vazu karne ko jab bhii baiThte hain yaad aata hai/ ki ham ujlat men jamna ka kinaara chhoR aaye hain

iamrana Rana Safvi
udd ke ek roz bahot door chali jaati hain/ ghar ki shakhon pe yah chidyon ki tarha hoti hain #betiyan

nilofers Nilofer Shaikh
Hum eent-eent ko daulat se laal kar dete ~ Agar zameer ki chidiya halaal kar dete!

mehranzaidi Mehran Zaidi
Khaane ki cheezen maa ne jo bheji hain gaon se, baasi bhi ho gyi hain par lazzat wahi rhi

ShaiqKhan Shaiq Ali Khan
Haalaat ney chehrey ki chamak cheen li warna/ Do chaar din main toh budhaapaa nahin aataa!

iamrana Rana Safvi
Ghar me rahte hue gairon ki tarha hoti hain/ betiyan dhaan ke patton ki tahta hoti hain

urdu_india shams
jab bhi milta hai wo andaaz judaa hota hai:;;chaand sau baar bhi nikley to naya hota hai..

urdu_india shams
Har ek aawaaz urdu ko fariyadi batati hai:;; ye pagli phir bhi ab tak khud ko shehzaadi batati hai..


iamrana Rana Safvi
Khush rahta hai woh apni GAREEBI me hamesha RAANA kabhi shahoon ki ghulami nahi karta

iamrana Rana Safvi
Hum dono me Aankein koi geeli nahi karta Gham woh nahi karta hai to main bhi nahi karta

iamrana Rana Safvi
Mein apna lehza to tabdeel kar nahi sakta, balaa se jaaye agar Karobaar jata hai.

suhelbaxi suhel baxi @
hukumat ka har ek eenam hai bandooksaazi par/ mujhe kaise milega main to baisakhi banata hoon

suhelbaxi suhel baxi
chiragon se hawa ki dushmani thi ghar jalaa mera/ sazaye kis ko milti hai sharat kon kartaa hai

suhelbaxi suhel baxi @
Hain mere dil pe haq kis kaa hukumat kon kartaa hai/ ibadat gah kiski hai ibadat kon kartaa hai

iamrana Rana Safvi
Karen naseeb se shikwa ya mausamo ka gila, Badal ke raasta Abr-e-bahaar jata hai.

iamrana Rana Safvi
Kadam badhane mein khatra hai Maut ka lekin, Mein LauTta hoon to sara waqar jata hai.

iamrana Rana Safvi
Safed Poshi tera aitbaar jaata hai, Agar chiraag hawaaon se haar jata hai.

iamrana Rana Safvi
Safar ka waqt aa jaaye to phir koi nahi rukta / Musafir khud se chal kar abodane tak pahunchta hai

iamrana Rana Safvi
Abhi aye zindagi tumko humara saath dena hai / Abhi beta humara sirf shaane tak pahunchta hai

mehranzaidi Mehran Zaidi
Kal apne aap ko dekha tha ma ki aankhon mein,ye aaina hume boodha nhi batata hai

iamrana Rana Safvi
Main chaahoon to mithaai ki dukaane khol sakta hoon/ Magar bachpan hamesha raamdaane tak pahunchta hai

iamrana Rana Safvi
Humari muflisi par aapko hansna mubaarak ho / Magar yeh tez har sayyad gharaane tak pahunchta hai

DrTahirZaidi Dr.Tahir Zaidi @
Main phoot ke roney laga jab maut ke dar se / neki ne kaha nama e aamaal mein ham hain 5 hours ago


mehranzaidi Mehran Zaidi
Main jab bhi gaon se chalta hoon mujse gaon kehta hai,moharram aaye to is taaziye ko yaad rakhiyega

iamrana Rana Safvi
Humara teer kuch bhi ho nishaane tak pahunchta hai / Parinda koi mausam ho thikane tak pahunchta hai

iamrana Rana Safvi
Hum ke shayar hain siyasat nahi aati humko/ Humse munh dekh ke lehza hai badla jaata.

iamrana Rana Safvi
Sab ke kehne se iraada nahi badla jata, Har saheli se dupatta nahi badla jaata.

asmariz Asma Rizwan
मुहब्बत करने वाला ज़िन्दगी भर कुछ नहीं कहता की दरिया शोर करता है, समन्दर कुछ नहीं कहता

iamrana Rana Safvi
padosiyon kii dukanen tak nahin khulti/ kisi kaa gaaon men jab intikaal hotaa hai

suhelbaxi suhel baxi @
woh chidiyaa thi duaayen padhke jo mujh ko jagati thi/ mein aksar soch thaa yeh tilawat kon karta hai


iamrana Rana Safvi
main apne aap ko Sayyad to likh nahin sakta/ azaan dene se koii Bilaal hotaa hai ?

suhelbaxi suhel baxi @
mujhe is shehar ki sab ladkiyan adaab karti hain/ main bachchon ki kalaai ke liye raakhi banata hoon



iamrana Rana Safvi
main apne bachchon ko kuchh bhi to de nahiin paya / kabhi kabhi mujhe Khud bhii malaal hotaa hai

khushrang_heena gulshan a.k.a Heena
mumkin hai hume gaaon bhi pehchaan na paaye..bachpan me hi hum ghar se kamaane nikal aaye #RemindsMeOfChildLabourIJustMet :(

khushrang_heena gulshan a.k.a Heena
kabhi kabhi to mere ghar me kuch nahi hota..magar jo hota hai rizk-e-halaal hota hai



khushrang_heena gulshan a.k.a Heena
tumhare sheher me mayyat ko sab kaandha nahi dete..humaare gaao.n me chappar bhi sab milkar uthaate hain

iamrana Rana Safvi
har ek chehraa yahaaN par gulaal hotaa hai/ hamaare shahar meN patthar bhii laal hotaa hai

fayazshaikh fayaz
Gareebi kyun humare shehar se bahar nahi jaati, ameer-e-shehar ke ghar ki har ek shaadi batati hai!

khushrang_heena gulshan a.k.a Heena
main isi mitti se utha tha baboole ki tarah..aur fir ek din isi mitti me mitti mil gayi

suhelbaxi suhel baxi @
Hum fakiron ko fakiri ka nasha rehta hai, Warna kya shaher mein shajra nahi badla jata

khushrang_heena gulshan a.k.a Heena
khudkhushi karne pe aamada thi nakaami meri..phir mujhe deewar par chadti ye cheenti mil gayi

fayazshaikh fayaz
Hum fakiron ko fakiri ka nasha rehta hai, Warna kya shaher mein shajra nahi badla jata!

nilofers Nilofer Shaikh
Main khul ke han's toh raha hoon faqeer hote hue ~ Woh muskura bhi na paaya ameer hote hue!

fayazshaikh fayaz @
Har ek aawaaz #urdu ko fariyadi batati hai, ye pagli phir bhi ab tak khud ko shehzaadi batati hai!

fayazshaikh fayaz
Humari muflisi par aapko hansna mubaarak ho , Magar yeh tez har sayyad gharaane tak pahunchta hai!

suhelbaxi suhel baxi
Mein apna lehza to tabdil kar nahi sakhta,/ balaa se jaaye agar Karobaar jata hai5 hours ago

fayazshaikh fayaz
'Munawwar' maa ke aage yun kabhi khulkar nahi rona , jahan buniyaad ho itni nami achhhi nahi hoti!

fayazshaikh fayaz
meri khwaahish hai ki main phir se farishta ho jaun , maaN se is tarah liptun ki bachcha ho jaun!

fayazshaikh fayaz
this is my favorite! " aye andhere dekh le munh tera kaala ho gaya, maa ne aankhein khol di ghar mein ujaala ho gaya!"

fayazshaikh fayaz
jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai , maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai!

fayazshaikh fayaz
Abhi zinda hai maa meri mujhe kuchh bhi nahi hoga, main jab ghar se nikalta hoon dua bhi saath chalti hai!

iamrana Rana Safvi
main un aankhon ke maikhane mein thodi der baitha tha, mujhe duniya nashe ka aaj tak aadi batati hai


fayazshaikh fayaz
Maine rote hue ponchhe the kisi din aansoo, muddaton maa ne nahi dhoya dupatta apna!



fayazshaikh fayaz
Is tarah mere gunaahon ko wo dho deti hai, maa bahut gusse mein hoti hai to ro deti hai!

DrTahirZaidi Dr.Tahir Zaidi @
Mujhey apni wafadari par koyi shak nahi hota / main khoon e dil mila deta hoon jab jhanda banata hoon

fayazshaikh fayaz
labo par uske kabhi baddua nahi hoti , bas ek maa hai jo kabhi khafa nahi hoti!

iamrana Rana Safvi
yahan veeraniyon ki ek muddat se hukumat hai, yahan se nafrate guzri hain barbaadi batati hai

iamrana Rana Safvi
abhi tak ye ilaaka hai rawadaari ke kabze mein, abhi firka parasti kam hai abaadi batati hai

DrTahirZaidi Dr.Tahir Zaidi @
Ajab duniya hai titli ke paron ko nocg deti hai / ajab titli hai paron ke nuchney par bhi roya nahi karti

iamrana Rana Safvi
kayi baate mohabbat sabko buniyadi batati hai, jo pardaadi batati thi wahi daadi batati hai

iamrana Rana Safvi
Har ek aawaaz urdu ko fariyadi batati hai, ye pagli phir bhi ab tak khud ko shehzaadi batati hai

mehranzaidi Mehran Zaidi
Haste huye chehre ne bharam rakha hamara,Vo dekhna aaya the ke kis haal mein hum hain

_Rasna Nomi®
Gham se fursat hi kahan hai ke tujhe yaad karoon, Itni laashen hai to kadhan nahi badla jaata.

_Rasna Nomi®
Aisa lagta hai ke wo Bhool gaya hai humko, Ab kabhi khidki ka parda nahi badla jaata.

_Rasna Nomi®
Hum fakiron ko fakiri ka nasha rehta hai, Warna kya shaher mein shajra nahi badla jata..

jilaawatan Inder
Kisi ko ghar mila hisse mein ya koi dukaan aai. Main ghar mein sabse chhota tha mere hisse mein Maa aai

m_salik salik ali
#muhajir hain magar ham ek #duniya chhoR aaye hain/ tumhare paas jitna hai ham utna chhor aaye hain

_Rasna Nomi®
Sab ke kehne se iraada nahi badla jata, Har saheli se dupatta nahi badla jaata...

jilaawatan Inder
Farishte aake unke jism par khushbuu lagaate hain. Wo bachche rail ke dibbe mein jo jhaaduu lagaate hain

jilaawatan Inder
Talvaar to kya meri nazar tak naheen uthee. Us shakhs ke bachchon ki taraf dekh liya tha

m_salik salik ali
hansi aati hai apni hi adakari pe khud hamko/ bane phirte hain #Yusuf aur #zulekha chhor aye hain #Muhajirnama

jilaawatan Inder
Kisee bhi mod par tumse vafaadaari nahin hogi. Hamein maaloom hai tumko yah beemaari nahin hogi


NaveedAhamed1 Naveed Ahamed
kayi baate mohabbat sabko buniyadi batati hai/jo pardaadi batati thi wahi daadi batati hai

jilaawatan Inder
Mohaajiro yahi taareekh hai makaanon ki. Banaane wala hamesha baraamdon mein rahaa .

m_salik salik ali
utaar aaye murawwat aur ravadari ka har chola/ jo ek sadhu ne pahnai thii mala chhor aaye Hain



jilaawatan Inder
Naye kamron mein ab cheezein puraani kaun rakhta hai. Parindo ke liye shahron mein paani kaun rakhta hai

_Rasna Nomi®
jahan pichhle kayi barson se kaale naag rehte hain wahan ek ghosla chidhiyon ka tha daadi batati hai...

m_salik salik ali
Something is wrong if you read #Muhajir nama by #Munawwar Rana and #tears does not comes to your eyes #Pakistan #India #Shair

khushrang_heena gulshan a.k.a Heena
Lahu kaise bahaaya jaaye ye leader bataate hain .. lahu ka zaayqa kaisa hai ye khaadi bataati hai

lutera_ लुटेरा
कम से कम बच्चो कि हँसी के खातिर ऐसी मिट्टी मे मिलाना कि खिलौना हो जाउ

khushrang_heena gulshan a.k.a Heena
Meri chaahat ka faqeeri se sila milta hai.. koi number bhi milata hoon tera milta hai
lutera_ लुटेरा
सोचता हूँ तो झलक उठती है आँखे तेरे बारे में न सोचू तो अकेला हो जाउ

khushrang_heena gulshan a.k.a Heena
bahut si kursiyan is mulk me laashon pe rakhi hain ,ye wo sach hai jise jhute se jhuta bol sakta hai

khushrang_heena gulshan a.k.a Heena
hukumat ki tawajjoh chaahti hai ye jali basti, adaalat puchna chahe to malba bol sakta hai #OpenTweetToIndianJudicialSystem

akhtar978 Akhtar Hussain
Be-sabab ishq mein marna mujhe manzoor nahin ! shamaa toh chaah rahi hai ki patagaa ho jaaun !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Chaaragar teri mahaarat pe yaqeen hai lekin ! kyaa zaroori hai ki har baar main achchha ho jaaun !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Sochta hoon toh chhalak uth'ti hain meri aankhein ! tere baare mein na sonchoo toh akela ho jaaun


akhtar978 Akhtar Hussain
yeh apne aap ko taqseem kar leti hai soobon mein ! kharaabi bas yahi har mulk ke naqshe mein rehti hai !!

akhtar978 Akhtar Hussain
main insaan hoon behak jaana meri fitrat mein shaamil hai ! hawaa bhi usko chhookar der tak nash'shey mein rehti hai !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Bulandi der tak kis shakhs ke hissey mein rehti hai ! bahot oonchi imaarat har ghadi khatre mein rehti hai !! #Mrana #shair
1 hour ago

akhtar978 Akhtar Hussain
Dukh kisi ka ho chhalak uth'tii hai meri aankhein ! saari mittii meri talaab mein aa jaati hai !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Ek kamre mein basar karta hai saara kunbaa ! saari duniyaa dil-e-betaab mein aa jaati hai !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Raat bhar jaagtey rehne ka sila hai shaayad ! teri tasveer see mehtaab mein aa jaati hai !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Jab bhi kashti meri sailab mein aa jaati hai ! Maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Shohrat mujhe milti hai toh chupchaap khadi reh ! ruswaayee main tujhse bhi mansoob rahaa hoon !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Ruswaayee mere naam se mansoob rahii hai ! main khud kahaan ruswaayee se mansoob rahaa hoon !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Ab koi shanaasa bhi dikhaayee nahin deta ! barson main issi shehar ka mehboob rahaa hoon !!

akhtar978 Akhtar Hussain
Duniyaa teri raunaq se, main ab oob rahaa hoon ! tuu chand mujhe kehti thee main doob rahaa hoon !!

sai_ki_bitiya Sai ki Bitiya
tujhse bichhDaa to pasand aa gayii be-tartiibii isse pahle meraa kamraa bhii Gazal jaisaa thaa

lutera_ लुटेरा
कई बातें मुहब्बत सबको बुनियादी बताती है,,जो परदादी बताती थी वही दादी बताती है

Girdafreed_ The Shepherd
naye kamron men ab cheezen purani kaun rakhta hai;parindon keliye shaharon men paani kaun rakhta hai

lutera_ लुटेरा
हर एक आवाज़ उर्दू को फरियादी बताती है,ये पगली फिर भी अब तक खुद को सहजादी बताती है !

suhelbaxi suhel baxi
hum sayadaar pedh zamane k kam aaye/ jab sukh ne lage to jalane k kam aaye

urdu_india shams
ye fann koi faqeer sikhaayega aapko: heere ko phool ki patti se kaatna

suhelbaxi suhel baxi
tu bewafa hai to le ek buri khabar sunn le/ ke intazaar mera dusra bhi karta hai

DrTahirZaidi Dr.Tahir Zaidi @
Bahut si kursiyan is mulk me laashon pe rakhi hain / ye wo sach hai ke jo jhootey se jhoota bol sakta hai

suhelbaxi suhel baxi @
MASAYAL NE HAME BOODA KIYA HAI WAQT SE PAHLE/ GHRELU ULJHNE AKSAR JAWANI CHEEN LETI HAIN

iamrana Rana Safvi
mere aagan ki kaliyo k tamanna shahzadon ki/ magar meri bhi majboori k mai bidi banata hoon

iamrana Rana Safvi
na mai kanghi banta hun na mai choti banaa hun/ ghazal me aap biti ko mai jag biti banata hun

iamrana Rana Safvi
main apni haar pe naadim iss yakeen ke saath/ ke apne ghar ki hifazat khuda bhi karta hai

DrTahirZaidi Dr.Tahir Zaidi @
Hukoomat ki tawajjo chahti hai ye jali basti / adaalat poochna chahey to malba bol sakta hai

urdu_india shams
apni yaaado se kaho ek din ki chuttee dein mujhe:;; Ishq ke hissey mein bhi itwaar hona chahiye...

Stay_Connectedd 'SPK'
Samandar ki nazare uski badahve pe markooj rehti H,Main darya hu mujhe apne kinare yaad rahte hai

Stay_Connectedd 'SPK'
Bichad kar bhi muhobbat ke zamane yaad rahte hai,Ujadti jati hai mehfile or chahare yaad rahate hai

iamrana Rana Safvi
Jo hukum deta hai vo iltija bhi karta hai/ ye aasmaan kahin per jhuka bhi karta hai

iamrana Rana Safvi
kaho andhero se daman samet le apna/ mai jugnuo ko alambdaar karne wala hun

maheshpareek_33 maheshpareek @
meri khawaish hai ki mai fir se farishta ho jaun \ maa se is tarah lipat jaun ki baccha ho jaun

iamrana Rana Safvi
ameer-e- shahar ko talwar karne wala hun/ mai jee huzuri se inkar karne wala hun

maheshpareek_33 maheshpareek @
Ye chidiya bhi meri beti se kitni milti julti hai. Kahin bhi shaakh e gul dekhati hai jhoola daal deti hai

rmanish1 Manish Rathore
Zara si baat hai lekin hawa ko kaun samjhaye ; Diye se meri Maa mere liye kajal banati hai

urdu_india shams
Raat bhar jaagte rahne ka sila hain shayad, teri tasveer si mahtaab mein aa jaati hai

NaveedAhamed1 Naveed Ahamed
kayi baate mohabbat sabko buniyadi batati hai/jo pardaadi batati thi wahi daadi batati hai

4 comments:

  1. apni zubaan samajh ke agar tu na bolta,
    main kuch bhi bolta magar urdu na bolta;

    calcutta mere saath raha main jahan bhi raha,
    phir kaise mere lehze ka jadoo na bolta.....;

    ReplyDelete
  2. miyaan main sher hun, shero ki gurrahat nahi jaati,
    main lehza narm bhi kar lun to jhunjlahat nahi jaati;

    ReplyDelete
  3. dikha..k..wo..berukhi..zinda..kar..gye..hame
    warna...har..adaa..pe..roz..marna..aaye..hame

    ReplyDelete
  4. kitni pyari lagti thi jab muzse bhaiya kahti thi,
    tere bin bhookhi baithi hai teri maiya kahti thi.

    I miss u mammy.....

    ReplyDelete