Tuesday 24 April 2012

#mazdoor theme at #shair 24th April 2012

Mazdoor / Mehnat / Paseena / Rozi / Kaam / Naukri.... 24th April Topic @shairoftheday #Mazdoor


shabana saher ‏ @SHABANA_SAHER
Ahl e daulat k mahal Kanp rahe hein dekho,aaj #mazdoor k mathe pe shikan aayee hai "Tahir"(my father)


Dr. Salam Ansari Dr. Salam Ansari ‏ @DrSalamAnsari
SaaNs bhi thak kar jo lete haiN to ujrat ki tarah=Ham tahi daaman sahii khairaat par zindaa nahiiN. #Mazdoor #Shair




maheshpareek ‏ @maheshpareek_33

Patthar taraash du to wo patthar khuda bane. Insaan taraash du to khuda jane kya bane #Majdoor # shair



हमराही हमराही ‏ @viniit_ks
Yahan mazdoor ko marne ki Jaldi yun bhi hai // K zindagi ki kashmakash mein kafan Mahnga na ho jaye. #Mazdoor #shair



अतुल प्र. त्रिवेदी अतुल प्र. त्रिवेदी ‏ @aptrivedi
हम इतनी करके मेहनत शहर में फुटपाथ पर सोये / ये मेहनत गाँव में करते तो अपना घर बना लेते #KunwarBechain #Mazdoor #shair



Manish Rathore Manish Rathore ‏ @rmanish1
तुम अनाज उगाओगे, तुम्हे रोटी नहीं मिलेगी;तुम ईंट पत्थर जोड़ोगे, तुम्हें सड़क पर सोना होगा;तुम कपड़े बुनोगे,और तुम नंगे रहोगे #Mazdoor #Shair


Smile Smile ‏ @suhelbaxi
Mere Seene Mein Koi Saans Chubha Karti Hai/ Jaise Mazdoor Ko Pardesh Mein Ghar Yaad Aaye #Mazdoor #Shair



Muslim 4 Reform Muslim 4 Reform ‏ @muslim4reform
Yaaro ye dil shikasta ab, aur sunaaye haal kya=Rozi jahaN mili hameN hum to wahiN ke ho liye #mazdoor #shair



dr.tahirgazi dr.tahirgazi ‏ @DrTahir_ped
tujhay fursat hee kahaan hai jo sar utha kai chalay/ subha saveray jo nikla tu sar-e-sham ayaa e.#Mazdoor #Shair



Umar Daraz Umar Daraz ‏ @mynameisdaraz
"So jaate hain footpath pe akhbaar bichha kar, #Mazdoor kabhi neend ki goli nahii.n khaate" #Shair



सौरभ श्रीवास्तव सौरभ श्रीवास्तव ‏ @saurabh_prayag
Bhookh se #mazdoor ke bachche bhi bilkhein, maaein bhi / Tuf hai saramaaya paraston par, kahiñ mit jaaen bhi #Shair



Muslim 4 Reform Muslim 4 Reform ‏ @muslim4reform
Dastkaari e mehnatkashaaN kuch na pooch=Jitne tinke thay sab aashiyaaN ho gaye #mazdoor #shair


Muneeb Qadri Muneeb Qadri ‏ @muneeb_qadri
Jachte nahi bakhshe hue firdaus nazar mae,, jannat teri pinhaa hai tere khoon e jigar mae... #mazdoor #shair



Manish Rathore Manish Rathore ‏ @rmanish1
Mazhabi #Mazdoor sab baithey hain ;Inhe kaam do: Isi shahr mein ek puraani si imaarat aur hai. #Shair



सौरभ श्रीवास्तव सौरभ श्रीवास्तव ‏ @saurabh_prayag
Khaein bhi #mazdoor ka, mazdoor par gurraein bhi / Din ko mehnat bhi karaein, raat ko rulwaein bhi ... #Shair



Muneeb Qadri Muneeb Qadri ‏ @muneeb_qadri
Na pooch kaun hai, kya mudaa hai, kuch nahi baba,, gada hain aur zer e saya e deewar baithe hain... #shair #mazdoor



Muslim 4 Reform Muslim 4 Reform ‏ @muslim4reform
Ishq ke khwaab ki taabeer, jawaani ka badal=Chand sikke hai mere haat me chaaloN ki tarah #mazdoor #shair



सौरभ श्रीवास्तव सौरभ श्रीवास्तव ‏ @saurabh_prayag
उसकी आजादी की बातें सारी झूठी बातें हैं / मजदूरों को, मजबूरों को खा जाने की घातें हैं ~ हफीज जालंधरी #shair #Mazdoor



सौरभ श्रीवास्तव सौरभ श्रीवास्तव ‏ @saurabh_prayag
सरमाए का जिक्र करो,मजदूर की उनको फ़िक्र नही / मुख्तारी पर मरते हैं,मजबूर की उनको फ़िक्र नही #Mazdoor #shair


shariq siddiqui shariq siddiqui ‏ @ghazalkaar
wo apne ehl-e-khana ke liye .roti kamayega . bina kuch khaaye jo #mazdoor apne ghar se nikla hai.- ahmar kashipuri @



shariq siddiqui shariq siddiqui ‏ @ghazalkaar
wo apne ehl-e-khana ke liye roti kamayega . bina kuch khaaye jo #mazdoor apne ghar se nikla hai -ahmar kashipuri #mazdoor



Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
11. ik shahanshaah ne daulat ka sahaaraa le kar// ham GhariiboN kii muhabbat kaa uRaayaa hai mazaaq #mazdoor #shair


Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
10. ye chamanzaar ye jamunaa kaa kinaaraa ye mahal/ ye munaqqash dar-o-deevaar, ye mehraab ye taaq #mazdoor #shair



Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
10. un ke pyaaroN ke maqaabir rahe benaam-o-namuud // aaj tak un pe jalaa_ii na kisii ne qaNdeel #Mazdoor #shair



Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
9. merii mehboob! unheN bhi to muhabbat hog/i jinkii sannaai ne baKhshi hai ise shakl-e-jameel #mazdoor #shair



Muneeb Qadri Muneeb Qadri ‏ @muneeb_qadri
Khada hu ab bhi roti ke char harf liye,, sawal ye hai kitaaboo ne kya diya mujhko... #shair #mazdoor



Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
8. daaman-e-dahar pe us rang ki gulkaari hai// jis meN shaamil hai tire aur mire ajdaad kaa KhuuN #mazdoor #shair



Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
Taj Mahal is the ultimate tribute to a #mazdoor



Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
7.ye imaaraat-o-maqaabir ye faseeleN, ye hisaar// mutla-qulhukm shahanshaahoN kii azmat ke sutuuN #Mazdoor #shair




Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
6.lekin un ke liye tash_heer kaa saamaan nahiiN// kyuuN ke vo log bhii apnii hii tarah muflis the #mazdoor #



Faheem Ahmad Faheem Ahmad ‏ @FaheemAhmadrana
Yahan #mazdoor Ko MaRNay Ki Jaldi Yon B Hai MOHSIÑ,/ Ke Ziñdagi Ki Kashmakash Mein Kafan Mehnga Na Ho Jaey#shair



Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
5.anginat logoN ne duniyaa meiN muhabbat kii hai/ kaun kahtaa hai ki saadiq na the jazbe un ke #mazdoor



Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
4. murdaa shaahoN ke maqaabir se behalne vaalii / apne taareek makaanoN ko to dekhaa hota #mazdoor #shair



Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
3. Merii mehboob pas-e-pardaa-e-tash_heer-e-vafaa/ tu ne satwat ke nishaanoN ko to dekha/a hota #Mazdoor #shair #sahir



Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
2.bazm-e-shahi me Gharibo ka guzar kya mani/ sabt jis raah p ho satwat-e-shahi k nishan/ uspe ulfat bhari ruhoN ka safar kya mani #mazdoor




Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
1.Taj tere liye ik mazhar-e-ulfat hi sahi/ tujhko is vadi-e-rangiN se aqidat hi sahi/ meri mehboob kahi aur mila kar mujhse! #mazdoor #shair




Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
6. aaj bhii ruukhii roTii milegii hameN // tum hiqaarat se kyuuN dekhte ho use #Mazdoor #shair



Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
5. apne rukh par liye zindagii kii thakan// sochtii hai ki din bhar kii mehnat ke baad #mazdoor #shair



Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
4. aur asaare meN aaTe kii chakkii ke paas // ek aurat pareshaan khaatir, udaas #mazdoor #shair


Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
3. baasii roTii ka TukDaa liye haath meN// sar khujaataa hai, jaane hai kis soch meN #mazdoor #shair


Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
2, shaam kaa waqt hai aur chuulha hai sard sahan meN ek bachcha barahna badan #mazdoor #shair



Rana Safvi Rana Safvi ‏ @iamrana
1.ek chhappar kaa ghar, neem ke saaye/ uuNghtaa hai dhundhalke meN lipTaa huaa #mazdoor #shair




Anu Anu ‏ @ARaj15
bhook lagtee hai tujhay bhee unhay yaqeen naheen/ maang lee roti tu ghadaree ka ilzaam ayaa #Shair #Mazdoor #Hashmi @




Anu Anu ‏ @ARaj15
hazaroon shair kahay taj mahal par lekin/ bananay walon ka ab tak na kaheen naam ayaa #shair #Mazdoor



Anu Anu ‏ @ARaj15
aap kya janoo paseene bahane ka alam kya hai/band kamaroon mein kab kissiko dhoop lagti hai #Shair #Mazdoor


Roli Saraswat Roli Saraswat ‏ @covertrack
जाने हम सड़क के लोगों से महलों वाले क्यूँ जलते हैं/ये ऊँचे महलों वाले भी इन सड़कों पर ही चलते हैं--आनन्द बक्शी http://www.saavn.com/popup/psong-VJcUYjLY.html?q=asha+jane+hum+sadak+ke #Mazdoor




Gurneet Singh Gurneet Singh ‏ @gurneetsj
pata nahi #Mazdoor itna besuddh Kaise so jata hai, na humne kabhi utni mehnat ki,na hi desi daru pi :)



AbidZaidi1 AbidZaidi1 ‏ @AbidZaidi1
ऐ मेरी ख़ाके-वतन, तेरा सगा बेटा हूँ मैं-क्यों रहूँ फुटपाथ पर मुझको महल भी चाहिए l #Rana #Mazdoor #Shair



Vinay Jha Vinay Jha ‏ @jha_vinay24
dil ko chu gayi aapki baat sir... @AbidZaidi1: #Mazdoor se kabhi koi poochhta nahii.n "kya khaya"...bas yehi poochhte hain "kha liya" ?




anand pandey anand pandey ‏ @anandnama
"So jata hai futpath par akhbaar bicha kar, #Mazdoor kabhi neend ki goli nahi khata" #Shair @



Rahul Jain Rahul Jain ‏ @Chilled_Yogi
kitne mazdooron ne chhor k beemar bacchon ko /surat in mahlon ki apne hathon se sanwari hai #mazdoor



AbidZaidi1 AbidZaidi1 ‏ @AbidZaidi1
#Mazdoor se kabhi koi poochhta nahii.n "kya khaya"...bas yehi poochhte hain "kha liya" ?



Roli Saraswat Roli Saraswat ‏ @covertrack
He who sleeps on the floor will not fall off the bed. #Mazdoor #Humour



Rahul Jain Rahul Jain ‏ @Chilled_Yogi
So jate he footpath pe akhbar bichha ke / #Mazdoor kabhi neend ki goli nahi khate #shair



AbidZaidi1 AbidZaidi1 ‏ @AbidZaidi1

...mai kyon batau.n ke ab mai 'roti khaane ja raha'... #Mazdoor roti khaate hain, sarmayadaar 'Lunch' karte hain...

Nehal Anwar Nehal Anwar ‏ @qasminehal
For his hard temper against d ruling section of the time, Faiz was jailed for a period of time. #Mazdoor




shams shams ‏ @shams_z
Jab kabhi bikta hai baazaar mein mazdoor ka gosht :: shahraaho pe ghareebo ka lahoo behta hai.... #mazdoor #shair #faiz



Adnan G. Adnan G. ‏ @oongalbaaz
The poet is Deepak Sharma.....my tweets were from his poem #Mazdoor !




Adnan G. Adnan G. ‏ @oongalbaaz
मेहनत करने से ही गर कोई अमीर होता / कोई मजदूर फेर ग़रीब नहीं होता.. #Mazdoor #Shair



अतुल प्र. त्रिवेदी अतुल प्र. त्रिवेदी ‏ @aptrivedi

ये सरहद सरहद जुड़ते हैं , और मुल्कों मुल्कों जाते हैं / बाहों में बाहें डालते हैं , और दिल को दिल से मिलाते हैं #Mazdoor #Shair




अतुल प्र. त्रिवेदी अतुल प्र. त्रिवेदी ‏ @aptrivedi
इन हाथों की ताजीम करो , इन हाथों की तकरीम करो / दुनिया को चलाने वाले हैं इन हाथों को तसलीम करो #Mazdoor #Shair




Smile Smile ‏ @suhelbaxi
kaam ki aas main ouzaar sajaye mazdoor/ phool ummeed ka footpath pe khilta dekhoon #Mazdoor #Shair




Smile Smile ‏ @suhelbaxi
Jis K Ghar Sham Ko Chulha Nahi Jalta Saadi/ Aise Mazdoor koTateel Buri Lagti He #Mazdoor #Shair


Prabhjot Bhatti Prabhjot Bhatti ‏ @BhattiPrabhjot
So jaty hain Footpath pe Akhbaar Bichaa kar, Mazdoor kabhi Neend Ki Goli Nahin Khaate.... #Mazdoor #shair




Smile Smile ‏ @suhelbaxi
Aag si ssenay meiN reh reh kay ubalto hai na pooch/ Apnay dl par mujhe qaaboo hi nahiN rehta hai (2) #Mazdoor #Shair



Smile Smile ‏ @suhelbaxi
Jab kabhi bikta hai bazaar meiN mazdoor ka gosht/ Shah rahoN pay ghareeboN ka luhoo behta hai (1) #Mazdoor #Shair



AbidZaidi1 AbidZaidi1 ‏ @AbidZaidi1
"वह तोड़ती पत्थर देखा मैंने इलाहाबाद के पथ पर - वह तोड़ती पत्थर ।" #Mazdoor #Shair #Nirala @shairoftheday (Nirala's Epic Poem !)



Prabhjot Bhatti Prabhjot Bhatti ‏ @BhattiPrabhjot
Mere Mazdoor Bachon Ko, Ilm Se Door Bachon Ko, Elahi Roshni Day Day, Nai Ek Zindagi Day Day.. #Mazdoor #shair



mithelesh mithelesh ‏ @mithelesh
A short story http://wordsofmithelesh.blogspot.in/2012/01/cycle-ball-bearing.html #mazdoor



अतुल प्र. त्रिवेदी अतुल प्र. त्रिवेदी ‏ @aptrivedi
उनके प्यारों के मक़ाबिर रहे बेनामो-नमूद / आज तक उन पे न जलाई किसी ने क़िन्दील [२/२] #Mazdoor #Shair #Sahir



Adnan G. Adnan G. ‏ @oongalbaaz
तुम्हें क्यूँ अपनी ईमारत पे इतना ग़ुरूर है / इसका असल मालिक तो केवल मजदूर है !!! #Mazdoor #Shair



अतुल प्र. त्रिवेदी अतुल प्र. त्रिवेदी ‏ @aptrivedi
मेरी महबूब उन्हें भी तो मोहब्बत होगी / जिनकी सन्नाई ने बख़्शी है इसे शक्ले-जमील [१/२] #Mazdoor #Shair #Sahir



Smile Smile ‏ @suhelbaxi
Gandum ameer-e-shehar ki hoti rahi kharab/ Beti kisi mazdoor ki faqoon sy mar gai #Mazdoor #Shair



Shri Krishna Sharma Shri Krishna Sharma ‏ @kris230450
ये शिकन,टूटन,थकन संसार, लिख नहीं पाता जिसे अखबार, आज तक प्राचीन का प्राचीन--#shair #mazdoor #RameshRanjak



Shri Krishna Sharma Shri Krishna Sharma ‏ @kris230450
एक थैला, दो शिकन, हम तीन, डूबते सूरज तुझे आमीन -#shair #mazdoor #RameshRanjak



Obaid Obaid ‏ @demhadiabo
Ashiyana banana mera kaam tha, Koi bijli giraye tou main kya karoon #Mazdoor #Shair



mithelesh mithelesh ‏ @mithelesh
एक खाली बोरी सीमेंट की.. और तो इटें...खिलोने भी होतें हैं.. कभी कैसे.. कभी कैसे... #mazdoor #mbaria



Adnan G. Adnan G. ‏ @oongalbaaz
Aaj unko he nahi ijazat dahleez pe chadhne ki / jinke hunar ki badaulat dyodhi teri noor hai.. #Mazdoor #Shair



Shri Krishna Sharma Shri Krishna Sharma ‏ @kris230450
नंगे पांवों हाथ कुदाली सिर बजरी की टोकरियां, नंगापन शहरों का ढकतीं ये बागड़ की छोकरियां -#mazdoor #shair #RKKrishak




Adnan G. Adnan G. ‏ @oongalbaaz
Chamakte farsh par tum jo khade ho itraaye se / kayi haatho'n ne isey pyaar se sahlaaya hai.. #Mazdoor #Shair



Adnan G. Adnan G. ‏ @oongalbaaz
Tum ne to sikko'n ki roshni phenki hai paseene par / magar #mazdoor ki mehnat ne tarasha kohinoor hai.. #Shair



JuNaid rocker JuNaid rocker ‏ @Junaid_s_memon
#mazdoor #shair Roz Mohabbat Ho Jaati Hai Chalte Phirte Logon Se, aas Adhoori Khwab Adhoore Yeh Mazdoori Thik Nahi



Adnan G. Adnan G. ‏ @oongalbaaz
Kitne mazdooro'n ne chorr kar beemar baccho'n ko / surat in mahlo'n ki apne haatho'n se sanwaari hai.. #Mazdoor


Adnan G. Adnan G. ‏ @oongalbaaz
Yahan #mazdoor ko marne ki jaldi yun bhi hai / ke zindagi ki kashmakash mein kafan menhga na ho jaye... #Shair



aaquib naved faruqui aaquib naved faruqui ‏ @aaquib_
Jis khet sey dehkaan ko mayassar na ho rozi ; us khet key har khusha-e-gandum ko jala do! #mazdoor #shair




Smile Smile ‏ @suhelbaxi
tairay hathoon nai barhaya hai kainaat ka husn/ magar yeh jazba muhabbat na tairay kaam ayaa #Mazdoor #Shair



Smile Smile ‏ @suhelbaxi
lagtee hai tujhay bhee unhay yaqeen naheen/ maang lee roti tu ghadaree ka ilzaam ayaa #Mazdoor #Shair



Smile Smile ‏ @suhelbaxi
hazaroon sher kahay taj mahal par lekin/ bana nay walon ka ab tak na kaheen naam ayaa #Mazdoor #Shair



Smile Smile ‏ @suhelbaxi
maavza kaam ka manga tu usnay hans kai kaha/ lo dekho maavza lainay maira ghulam ayaa #Mazdoor #Shair



Smile Smile ‏ @suhelbaxi
tujhay fursat hee kahaan hai jo sar utha kai chalay/ subha saveray jo nikla tu sar-e-sham ayaa e.#Mazdoor #Shair



AbidZaidi1 AbidZaidi1 ‏ @AbidZaidi1
"Itni khushi mujhe mere Parwardigaar de, Muflis ki zindagi mere hatho.n sa.nwaar de" #Mazdoor #Shair #AbidZ



mithelesh mithelesh ‏ @mithelesh
बचे हुए सिक्के गुल्लक में डाल देतें हैं.... मजदूरों के घरों में हिसाब नहीं होते.... #mazdoor #mbaria



AbidZaidi1 AbidZaidi1 ‏ @AbidZaidi1
mazdoor ka dard mazdoor hi samajh sakta hai..sarmayadaar nahii.n...wo to bas "door" se "maza" leta hai #Mazdoor



Smile Smile ‏ @suhelbaxi
So jaty hain Footpath pe Akhbaar Bichaa kar/Mazdoor kabhi Neend Ki Goli Nahin Khaate.#Mazdoor #Shair



Obaid Obaid ‏ @demhadiabo
Tou aapko waapas #Shair pe ek #Mazdoor hi la saka @shairoftheday



AbidZaidi1 AbidZaidi1 ‏ @AbidZaidi1
#Mazdoor #Shair @shairoftheday ~> http://www.filmigallery.com/poetry-shero-shayari/kavi-deepak-sharma-ki-mashhoor-nazm-mazdoor-t72113.html




mithelesh mithelesh ‏ @mithelesh
तिनकों को चोंच में दबा कर इधर उधर उड़ता ये परिंदा.... किसी मजदूर सा नज़र आता है... #mbaria #mazdoor



AbidZaidi1 AbidZaidi1 ‏ @AbidZaidi1
"Bhook lagtii hai tujhe bhii unhei.n yaqeen nahii.n~Maang lii roti to ghaddaarii ka ilzaam aaya" #Mazdoor #Shair


8h AbidZaidi1 AbidZaidi1 ‏ @AbidZaidi1
"Hazaro.n sher kahe Taj Mahal par lekin~ Banaane walo.n ka abtak na kahii.n naam ayaa" #Mazdoor #Shair



NOBODY NOBODY ‏ @einstienamit
Aapke iss naqli guroor ki dunia. Kabhi dekhi hai aapne #Mazdoor ki dunia....




Anu Anu ‏ @ARaj15
Yahan #Mazdoor Ko Marnay Ki Jaldi Yun Bhi Hai/ Zindagi Ki Kashmakash Mein Kafan Mahnga Na Ho Jaey #Shair



Anu Anu ‏ @ARaj15
Iss Shehar Main #Mazdoor jaisa dar badar koi nahi, Jiss ne sub kay ghar banaye us ka ghar koi nahi #Shair



priyank verma priyank verma ‏ @Verma_jii
mehnat se maana choor hai aaram se kooso door hai hum par ladne ko majboor hain hum #mazdoor hai hum mazdoor hain hum..#shairoftheday



priyank verma priyank verma ‏ @Verma_jii
mehnat se maana choor hai aaram se kooso door hai hum par ladne ko majboor hain hum #mazdoor hai hum mazdoor hain hum..



Shweta Ambolkar Shweta Ambolkar ‏ @Shweta_Ambolkar
Yaha mazdoor ko marne ki jaldi yun bhi hai / Ke zindgi ki kashmakash me kafan mahnga na ho jaye... #shair #mazdoor



AbidZaidi1 AbidZaidi1 ‏ @AbidZaidi1
"Ye chaand door se mujhe roti dikhaayi de~Deewana kar diya hai gham-e-rozgaar ne" #AbidZ #Mazdoor



Roli Saraswat Roli Saraswat ‏ @covertrack
झरने का कलकल, पत्तों का मर्मर और फूलों की गुपचुप आवाज़, ये गरीब की आह से बनते हैं।--रामधारी सिंह दिनकर #Mazdoor #Dinkar



Roli Saraswat Roli Saraswat ‏ @covertrack
आयु तेजी से भागी जाती है और हम अंधेरे में जीवन का अर्थ टटोल रहे हैं।--रामधारी सिंह दिनकर #Dinkar #Mazdoor



Roli Saraswat Roli Saraswat ‏ @covertrack
तुम जी रहे हो, हम जीने की इच्छा को तोल रहे हैं।--रामधारी सिंह दिनकर #Dinkar #Mazdoor #Shairoftheday



Roli Saraswat Roli Saraswat ‏ @covertrack
युगों से हमारा तुम्हारा यही सम्बन्ध रहा है। हम रास्ते में फूल बिछाते हैं तुम उन्हें मसलते हुए चलते हो।-दिनकर #Mazdoor #Shairoftheday



Roli Saraswat Roli Saraswat ‏ @covertrack
हम तुम्हारे लिये महल बनाते हैं तुम हमारी कुटिया को देखकर जलते हो।--रामधारी सिंह दिनकर #Mazdoor #Dinkar




#FarmersSuicide"@AbidZaidi1: "Roti ki fikr mei.n kabhi rozi ki qaid mei.n, Ai waqt tu bataa, mere asha'ar kya huay" #Mazdoor #AbidZ



AbidZaidi1 AbidZaidi1 ‏ @AbidZaidi1
"Roti ki fikr mei.n kabhi rozi ki qaid mei.n, Ai waqt tu bataa, mere asha'ar kya huay" #Mazdoor #AbidZ



AbidZaidi1 AbidZaidi1 ‏ @AbidZaidi1
"Aik roti pe kaii roz guzaare honge, Uski aankho.n mei.n magar chaand sitaare honge" #Mazdoor #AbidZ


AbidZaidi1 AbidZaidi1 ‏ @AbidZaidi1
"So jaate hain footpath pe akhbaar bichha kar, #Mazdoor kabhi neend ki goli nahii.n khaate" #Shair



Nabeel Shoeb Nabeel Shoeb ‏ @NabeelShoeb
Mere Seene Mein Koi Saans Chubha Karti Hai, Jaise #Mazdoor Ko Pardesh Mein Ghar Yaad Aaye #Badr #shair #



dr(capt) alok ranjan dr(capt) alok ranjan ‏ @dr_captalok
है बड़ी बात आजादी का पाना ही नहीं, जुगाना भी, बलि एक बार ही नहीं, उसे पड़ता फिर-फिर दुहराना भी। #Dinkar #mazdoor #shair



dr(capt) alok ranjan dr(capt) alok ranjan ‏ @dr_captalok
झेलेगा यह बलिदान ? भूख की घनी चोट सह पाएगा ? आ पड़ी विपद तो क्या प्रताप-सा घास चबा रह पाएगा ? #Dinkar #mazdoor #shair



dr(capt) alok ranjan dr(capt) alok ranjan ‏ @dr_captalok
इनके जादू का जोर भला कब तक बुभुक्षु सह सकता है ? है कौन, पेट की ज्वाला में पड़कर मनुष्य रह सकता है ? #Dinkar #mazdoor #shair




dr(capt) alok ranjan dr(capt) alok ranjan ‏ @dr_captalok
हो रहे खड़े आजादी को हर ओर दगा देनेवाले, पशुओं को रोटी दिखा उन्हें फिर साथ लगा लेनेवाले।#Dinkar #mazdoor #shair




dr(capt) alok ranjan dr(capt) alok ranjan ‏ @dr_captalok
आजादी रोटी नहीं, मगर, दोनों में कोई वैर नहीं, पर कहीं भूख बेताब हुई तो आजादी की खैर नहीं। #Dinkar #mazdoor #shair



dr(capt) alok ranjan dr(capt) alok ranjan ‏ @dr_captalok
आजादी तो मिल गई, मगर, यह गौरव कहाँ जुगाएगा ? मरभुखे ! इसे घबराहट में तू बेच न तो खा जाएगा ? #Dinkar #mazdoor #shair



Nabeel Shoeb Nabeel Shoeb ‏ @NabeelShoeb
Haathoon Per Zakham, Maathay Per #Paseena ~ Main Pair-E- #Mazdoor Main Zanjeer Dekhta Hoon #Shairoftheday #shair



Nabeel Shoeb Nabeel Shoeb ‏ @NabeelShoeb
Tazheek O Ghurbat Ki Tasweer Dekhta Hoon,Main #Mazdoor-E-Jahaan Ki Taqdeer Dekhta Hoon #shair

Rahul Jain ‏ @Chilled_Yogi
Jeha roti #mazdur ki kamai se mehengi ho jaye waha 2 cheeze sasti ho jati he aurat ki izzat aur mard ki gairat


Zee J ‏ @Rugaalii
Ilaahii kash ghum-e-ishq #kaam kar jaaye // jo kal guzaraniihai mujh pe abhi guzar jaaye #Shair


anand pandey anand pandey ‏ @anandnama
"Kitna kaam kareinge? Ab araam kareinge! Naukari chhod k "Naasir", apna #kaam karienge.. :-)"


anand pandey anand pandey ‏ @anandnama
Kuch log bohot khushKismat the jo ishq ko kaam samajhte the/ya #kaam se aashiqi karte the, hum jite ji masruf rahe na ishq kiya na kaam kiya




Mubassir Latifi Mubassir Latifi ‏ @Mubassir_Latifi
Apna to #kaam he jalaatay rahen chiraag// Rastay mein chahay dost ya dushman ka ghar milay. #Shair



Nabeel Shoeb Nabeel Shoeb ‏ @NabeelShoeb
bas ki dushwaar hai har #kaam ka aasan honaaa, aadamii ko bhii mayassar nahi insaan honaa #shair #Shairoftheday #Ghalib @iamrana



anand pandey ‏ @anandnama
Lo samandar ko safina karLiya, hamne yun asaan jina karLiya/ab nahi hai dur manzil sochkar, saaf maathe se pasina kar liya #Paseena @iamrana



anand pandey anand pandey ‏ @anandnama
"iss darja masail k jahnumm mein jala houn, ab koi bhi mausam ho, paseena nahi aata" #Shair #Paseena #Munawwar



Rekha Singh Rekha Singh ‏ @rekha47singh
paseena maut ke maathey pe aaya aaiina laao...hum apni zindagii ki aakhrii tasveer dekhenge.....#Paseena #shair



Nabeel Shoeb Nabeel Shoeb ‏ @NabeelShoeb
Haathoon Per Zakham, Maathay Per #Paseena ~ Main Pair-E- #Mazdoor Main Zanjeer Dekhta Hoon #Shairoftheday #shair



Mubassir Latifi ‏ @Mubassir_Latifi
Woh din hawa huway jab #Paseena gulab tha// Ab atr bhi malein to paseenay ki boo nahin. #Shair



Rachna Sinha ‏ @Rachna49
Yahaan mazdoor ko marne ki jaldi yun bhi hae/Ke zindagi ki kashmkash mein kahin kafn mehangaa na ho jaaye #Shair #Mazdoor


Dr.Tahir Zaidi ‏ @DrTahirZaidi
Idhar ek din ki aamdani ka ausat chavanni hai/udhar laakhon me Gandhiji ke chelon ki kamai hai #Mazdoor


Dr. Salam Ansari ‏ @DrSalamAnsari
Mohaajiro yahii taareekh hai makaanoN ki=Banaanewaalaa hameshaa baraamde meN rahaa. #Mazdoor



Dr.Tahir Zaidi ‏ @DrTahirZaidi
Wo Jis ke hathon me chaale paon me bewaai hai/Usi ke dam se raunaq aap ke bungley me aayi hai #Mazdoor @akhtar978



Rachna Sinha Rachna Sinha ‏ @Rachna49

Tere haathoon ne badhaayaa hae kainaat ka husn/Magar yeh jazba mohabbat na tere kaam aayaa #Shair #Mazdoor #Hashmi




Rachna Sinha Rachna Sinha ‏ @Rachna49
Bhook lagtee hae tujhay bhee unhe yaqeen naheen/Maang lee roti to ghadaaree ka ilzaam aayaa #Shair #Mazdoor #Hashmi




Rachna Sinha Rachna Sinha ‏ @Rachna49

Tujhay fursat hee kahaan hae jo sar uttha kai chalay/Subah savere jo nikla tu sar-e-shaam aayaa #Shair #Mazdoor #Hashmi



Usman Ghani Usman Ghani ‏ @UGpk
2. Aag si seene mein reh reh k ubalti hy na pooch, Apne dil pe mujhy qabu hee nahi rehta hy #Faiz #Mazdoor #Shair




Usman Ghani Usman Ghani ‏ @UGpk
1. Jab kabhi bikta hy bazar mein #mazdoor ka gosht, Shahrahon pe ghareeboN ka lahu behta hy... #Shair #Faiz @iamrana @albellee




Usman Ghani Usman Ghani ‏ @UGpk
Hukm e Haq hey Laisa Lil Insana Illa Ma Sa'aa, #Mazdoor ki mehnat ka phal phir khaey kiun sarmayadar #Shair #Iqbal



Nadeem Ahmad ‏ @nad_mad
Yahan #mazdoor ko marne ki jaldi yun bhi hai #Faraz // Ke zindagi ke kashma-kash main kafan mahnga na ho jaye... #Shair



No comments:

Post a Comment