Monday 12 August 2013

Bahut kaha tha by Rehana Qamar



Bahut kaha tha ke mera dukh dar badar na karna,
Bahut kaha tha ke meri baatein udhar na karna

Bahut kaha tha ke paaniyon pe naa rah sakoge,
Bahut kaha tha ke meri aankhon mein ghar na karna

Bahut kaha tha ke pyar mein jii laga huwa hai,
Bahut kaha tha ke yeh qissa mukhtasar na karna

Bahut kaha tha ke aansuon ki chamak bahut hai,
Bahut kaha tha ke unke hote sehar na karna

Bahut kaha tha ke khud se baahir naa aa sakoge,
Bahut kaha tha ke apne andar safar naa karna

Bahut kaha tha ke yeh farq pahchaanti nahin hain,
Bahut kaha tha ke hawa'on ko humsafar naa karna

Bahut kaha tha ke log chehre ko dekhte hain,
Bahut kaha tha ke uski baatein Qamar naa karna

1 comment:

  1. Bahut kaha tha ki guftagu mukhtsar rahe.
    bahut kaha tha baato'n me shahar na karna.


    excellent piece of poetry Rehan Qamar ji. May the pages shine with lightening of your thought through your pen.

    ReplyDelete