Monday 12 August 2013

Rehana Qamar " Koi sunta hi nahi "



Koi sunta hi nahin bol rahi hun kab se
Tez aandhi mein khadi dol rahi hun kab se

Zindagi kya hai, faqat tez hawa ki khwahish
Jisko khidki ki tarah khol rahi hun kab se

Koi milta nahin taabeer bataane waala
Main kisi khwaab mein par tol rahi'n hun kab se

Zindagi zehar bhara koi pyaala hai Qamar
Jis mein misri ki dali ghol rahi'n hun kab se

Maa ne mere liye baandhi thi nasihat jis mein
Iss gathri ko Qamar khol rahi'n hun kab se




No comments:

Post a Comment